Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir aagahi se yaqin ki taraf qadam nikle

Zafar Adeem

phir aagahi se yaqin ki taraf qadam nikle

Zafar Adeem

MORE BYZafar Adeem

    phir āgahī se yaqīñ taraf qadam nikle

    gumān-o-vaham jab sarhadoñ se ham nikle

    phir iztirāb lazzat kahāñ visāl ke baad

    ḳhudā kare ki ba-vaqt-e-visāl dam nikle

    maiñ sach kahūñ to mirī ḳhāmushī na kahne de

    vo jhuuT bole to be-sāḳhta qasam nikle

    chhupā ke ham ne rakhe but jab āstīnoñ meñ

    sanam-kada bhī na phir kyoñ tah-e-haram nikle

    vo kashmakash meñ rahe maslahat nazr hue

    jo log apnī sharāfat meñ ghar se kam nikle

    phir aagahi se yaqin ki taraf qadam nikle

    guman-o-waham ki jab sarhadon se hum nikle

    phir iztirab ki lazzat kahan visal ke baad

    KHuda kare ki ba-waqt-e-visal dam nikle

    main sach kahun to meri KHamushi na kahne de

    wo jhuT bole to be-saKHta qasam nikle

    chhupa ke hum ne rakhe but jab aastinon mein

    sanam-kada bhi na phir kyon tah-e-haram nikle

    wo kashmakash mein rahe maslahat ki nazr hue

    jo log apni sharafat mein ghar se kam nikle

    Source:

    Bheeni Bheeni Mahak (Pg. 73)

    • Author: Zafar Adeem
      • Publisher: Zafar Adeem
      • Year of Publication: 2003
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now