Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir bhi mujhe kisi se yahan kuchh gila nahin

Mohammad Mustahsan Jami

phir bhi mujhe kisi se yahan kuchh gila nahin

Mohammad Mustahsan Jami

MORE BYMohammad Mustahsan Jami

    phir bhī mujhe kisī se yahāñ kuchh gila nahīñ

    maiñ chīḳhtā huuñ aur koī boltā nahīñ

    ashkoñ kārvān abhī tak thamā nahīñ

    ne hamāre hijr qissa sunā nahīñ

    maiñ ne vafā jaam abhī tak piyā nahīñ

    ye ittifāq hai koī hādisa nahīñ

    apnī batāo kaise basar ho rahī hai dost

    merā kisī galī se koī rābta nahīñ

    maiñ bhī talāshtā huuñ agar tum madad karo

    vo shaḳhs jis ke dil meñ koī vasvasa nahīñ

    kahte haiñ mujh ko dost ki sabr-o-razā bhī siikh

    vo kaam kah rahe haiñ jo un se huā nahīñ

    ḳhvāhish ho rahī bichhaḌ jā.ūñ ek din

    ye ārzū-e-dil hai koī faisla nahīñ

    ab tak badan ke dasht hare ho nahīñ sake

    ik zaḳhm hai jo ne hamārā siyā nahīñ

    be-mausamī ghuTan baserā hai in dinoñ

    bārish se aur havā se to koī gila nahīñ

    jitne bhī rang-o-nūr ke mausam the jhaḌ ga.e

    ab raushnī na maañg ki ik bhī diyā nahīñ

    jo lutf tere hijr ne baḳhshā hai har ghaḌī

    shāyad tire visāl meñ is mazā nahīñ

    go intizār-e-vasl meñ kaT jaa.e saarī umr

    is rog ilaaj bhī tere sivā nahīñ

    bārish jamāl-e-yār har ḳhās-o-ām par

    lekin mire nasīb meñ terī atā nahīñ

    ḳhairāt us ke kaase meñ apne karam Daal

    ik shaḳhs tere dar se abhī tak uThā nahīñ

    dasht-e-suḳhan sair ko ik umr ho ga.ī

    lekin tire jamāl pe kuchh likh sakā nahīñ

    phir bhi mujhe kisi se yahan kuchh gila nahin

    main chiKHta hun aur koi bolta nahin

    ashkon ka karwan abhi tak thama nahin

    tu ne hamare hijr ka qissa suna nahin

    main ne wafa ka jam abhi tak piya nahin

    ye ittifaq hi hai koi hadisa nahin

    apni batao kaise basar ho rahi hai dost

    mera kisi gali se koi rabta nahin

    main bhi talashta hun agar tum madad karo

    wo shaKHs jis ke dil mein koi waswasa nahin

    kahte hain mujh ko dost ki sabr-o-raza bhi sikh

    wo kaam kah rahe hain jo un se hua nahin

    KHwahish si ho rahi bichhaD jaun ek din

    ye aarzu-e-dil hai koi faisla nahin

    ab tak badan ke dasht hare ho nahin sake

    ek zaKHm hai jo tu ne hamara siya nahin

    be-mausami ghuTan ka basera hai in dinon

    barish se aur hawa se to koi gila nahin

    jitne bhi rang-o-nur ke mausam the jhaD gae

    ab raushni na mang ki ek bhi diya nahin

    jo lutf tere hijr ne baKHsha hai har ghaDi

    shayad tere visal mein is ka maza nahin

    go intizar-e-wasl mein kaT jae sari umr

    is rog ka ilaj bhi tere siwa nahin

    barish jamal-e-yar ki har KHas-o-am par

    lekin mere nasib mein teri ata nahin

    KHairaat us ke kase mein apne karam ki Dal

    ek shaKHs tere dar se abhi tak uTha nahin

    dasht-e-suKHan ki sair ko ek umr ho gai

    lekin tere jamal pe kuchh likh saka nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now