Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir dekhte aish aadmi ka

Dagh Dehlvi

phir dekhte aish aadmi ka

Dagh Dehlvi

MORE BYDagh Dehlvi

    phir dekhte aish aadmī

    bantā jo falak mirī ḳhushī

    gulshan meñ tire laboñ ne goyā

    ras chuus liyā kalī kalī

    terā bhī to husn hai daġhābāz

    hotā nahīñ koī kisī

    itnī to bas kasar hai tum meñ

    kahnā nahīñ mānte kisī

    ham bazm meñ un chupke baiThe

    muñh dekhte haiñ har aadmī

    tum kūcha-e-ġhair meñ na jaanā

    us raah meñ hai guzar kisī

    kis kis ne liye haiñ tere bose

    hai la.al-e-namak-fishāñ jo phīkā

    jo dam hai vo hai basā ġhanīmat

    saara saudā hai jiite

    āġhāz ko kaun pūchhtā hai

    anjām achchhā ho aadmī

    rokeñ unheñ kyā ki hai ġhanīmat

    ānā-jānā kabhī kabhī

    kahte haiñ use zabān-e-urdu

    jis meñ na ho rang fārsī

    aise se jo 'dāġh' ne nibāhī

    sach hai ki ye kaam thā usī

    phir dekhte aish aadmi ka

    banta jo falak meri KHushi ka

    gulshan mein tere labon ne goya

    ras chus liya kali kali ka

    tera bhi to husn hai daghabaz

    hota hi nahin koi kisi ka

    itni hi to bas kasar hai tum mein

    kahna nahin mante kisi ka

    hum bazm mein un ki chupke baiThe

    munh dekhte hain har aadmi ka

    tum kucha-e-ghair mein na jaana

    us rah mein hai guzar kisi ka

    kis kis ne liye hain tere bose

    hai lal-e-namak-fishan jo phika

    jo dam hai wo hai basa ghanimat

    sara sauda hai jite ji ka

    aaghaz ko kaun puchhta hai

    anjam achchha ho aadmi ka

    roken unhen kya ki hai ghanimat

    aana-jaana kabhi kabhi ka

    kahte hain use zaban-e-urdu

    jis mein na ho rang farsi ka

    aise se jo 'dagh' ne nibahi

    sach hai ki ye kaam tha usi ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now