Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir ghaalib ko yaad karen phir dida-e-tar ki baat karen

Kanwal Pradeep Mahajan

phir ghaalib ko yaad karen phir dida-e-tar ki baat karen

Kanwal Pradeep Mahajan

MORE BYKanwal Pradeep Mahajan

    phir 'ġhālib' ko yaad kareñ phir dīda-e-tar baat kareñ

    dil jigar baat kareñ phir saudā-e-sar baat kareñ

    jab Tapkā thā ḳhūn-e-shahīdāñ jab mahkī thī arz-e-vatan

    aao hamdam us lamhe us manzar baat kareñ

    qātil to qātil Thahrā us ne jo kiyā so karnā thā

    chārāgar ne kyoñ muñh pherā chārāgar baat kareñ

    apne aap ko bhī pahchāneñ ḳhud se ta'āruf bhī kar leñ

    apnī jin ko saar nahīñ vo duniyā-bhar baat kareñ

    shab to 'kañval' har haal meñ kaT jaanī hai kaT jā.egī

    kyoñ uljheñ tārīkī se phir kyoñ na sahar baat kareñ

    phir 'ghaalib' ko yaad karen phir dida-e-tar ki baat karen

    dil ki jigar ki baat karen phir sauda-e-sar ki baat karen

    jab Tapka tha KHun-e-shahidan jab mahki thi arz-e-watan

    aao hamdam us lamhe ki us manzar ki baat karen

    qatil to qatil Thahra us ne jo kiya so karna tha

    chaaragar ne kyon munh phera chaaragar ki baat karen

    apne aap ko bhi pahchanen KHud se ta'aruf bhi kar len

    apni jin ko sar nahin wo duniya-bhar ki baat karen

    shab to 'kanwal' har haal mein hi kaT jaani hai kaT jaegi

    kyon uljhen tariki se phir kyon na sahar ki baat karen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now