phir jagati hai wahi Tis purani barish
phir jagātī hai vahī Tiis purānī bārish
is baras bhī hai usī tarh suhānī bārish
siskiyāñ bhartī rahī raat havā āñgan meñ
raat bhar kahtī rahī koī kahānī bārish
aag ban kar kabhī shiryānoñ meñ bahtā huā ḳhuun
kabhī āñkhoñ se barastā huā paanī bārish
ab to ye peḌ Tapaktā hai mirī chhat kī tarah
do ghaḌī rok zarā apnī ravānī bārish
sabz paanī ne badal Daalā hai manzar kā tilism
rang koī ho kiye detī hai dhānī bārish
chāhne vaalī mire dard jagāne vaalī
merī mahbūb mirī dushman-e-jānī bārish
phir jagati hai wahi Tis purani barish
is baras bhi hai usi tarh suhani barish
siskiyan bharti rahi raat hawa aangan mein
raat bhar kahti rahi koi kahani barish
aag ban kar kabhi shiryanon mein bahta hua KHun
kabhi aankhon se barasta hua pani barish
ab to ye peD Tapakta hai meri chhat ki tarah
do ghaDi rok zara apni rawani barish
sabz pani ne badal Dala hai manzar ka tilism
rang koi ho kiye deti hai dhani barish
chahne wali mere dard jagane wali
meri mahbub meri dushman-e-jaani barish
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 31)
- Author : Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.