phir kisi KHwab ke parde se pukara jaun
phir kisī ḳhvāb ke parde se pukārā jā.ūñ
phir kisī yaad kī talvār se maarā jā.ūñ
phir koī vus.at-e-āfāq pe saaya Daale
phir kisī aañkh ke nuqte meñ utārā jā.ūñ
din ke hañgāmoñ meñ dāman kahīñ mailā ho jaa.e
raat kī nuqra.ī ātish meñ nikhārā jā.ūñ
ḳhushk kho.e hue gumnām jazīre kī tarah
dard ke kaale samundar se ubhārā jā.ūñ
apnī khoī huī jannat kā talabgār banūñ
dast-e-yazdāñ se gunahgār sañvārā jā.ūñ
phir kisi KHwab ke parde se pukara jaun
phir kisi yaad ki talwar se mara jaun
phir koi wusat-e-afaq pe saya Dale
phir kisi aankh ke nuqte mein utara jaun
din ke hangamon mein daman kahin maila ho jae
raat ki nuqrai aatish mein nikhaara jaun
KHushk khoe hue gumnam jazire ki tarah
dard ke kale samundar se ubhaara jaun
apni khoi hui jannat ka talabgar banun
dast-e-yazdan se gunahgar sanwara jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.