Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir koi mahshar uThane meri tanhai mein aa

Saleem Shahid

phir koi mahshar uThane meri tanhai mein aa

Saleem Shahid

MORE BYSaleem Shahid

    phir koī mahshar uThāne merī tanhā.ī meñ aa

    apne hone ḳhabar le kar kabhī bastī meñ aa

    dekhnā Thahrā to phir ik ye tamāshā bhī sahī

    aag lagne ḳhabar sun kar ab khiḌkī meñ aa

    ai mire hoñToñ lazzat shāḳh ko bojhal na kar

    ik hilore meñ shajar se TuuT kar jholī meñ aa

    jurm-e-be-lazzat hai sāhil par tirī tar-dāmanī

    palaT ḳhushkī jānib khule paanī meñ aa

    toḌ bhī de halqa-e-yārāñ bahut shab Dhal chukī

    naql-e-zindānī ko ghar chār-dīvārī meñ aa

    mere pairoñ meñ to zanjīreñ galī kūchoñ haiñ

    mujh se milne shahr gunjān ābādī meñ aa

    ḳhvāhish-e-be-ḳhānumāñ ko makān-e-harf meñ

    nau-valad bachche sūrat paikar-e-ma.anī meñ aa

    niiñd kuchh kar le ki taaza aañkh pe sūraj khule

    sub.h sāhil par utarnā hai to is kashtī meñ aa

    ḳhuun shiryānoñ āñkhoñ meñ dikhā.ī de sake

    bhī dariyā hai agar 'shāhid' to tuġhyānī meñ aa

    phir koi mahshar uThane meri tanhai mein aa

    apne hone ki KHabar le kar kabhi basti mein aa

    dekhna Thahra to phir ek ye tamasha bhi sahi

    aag lagne ki KHabar sun kar hi ab khiDki mein aa

    ai mere honTon ki lazzat shaKH ko bojhal na kar

    ek hilore mein shajar se TuT kar jholi mein aa

    jurm-e-be-lazzat hai sahil par teri tar-damani

    ya palaT KHushki ki jaanib ya khule pani mein aa

    toD bhi de halqa-e-yaran bahut shab Dhal chuki

    naql-e-zindani ko ghar ki chaar-diwari mein aa

    mere pairon mein to zanjiren gali kuchon ki hain

    mujh se milne shahr ki gunjaan aabaadi mein aa

    KHwahish-e-be-KHanuman ko la makan-e-harf mein

    nau-walad bachche ki surat paikar-e-mani mein aa

    nind kuchh kar le ki taza aankh pe suraj khule

    subh sahil par utarna hai to is kashti mein aa

    KHun shiryanon ka aankhon mein dikhai de sake

    tu bhi dariya hai agar 'shahid' to tughyani mein aa

    Source:

    Subh-e-safar (Pg. 32)

    • Author: Saleem Shahid
      • Edition: 1971
      • Publisher: Ham asr, Lahore
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now