Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir misr ke bazar mein nilam hua kyun

Najma Shaheen Khosa

phir misr ke bazar mein nilam hua kyun

Najma Shaheen Khosa

MORE BYNajma Shaheen Khosa

    phir misr ke bāzār meñ nīlām huā kyuuñ

    ai ishq batā terā ye anjām huā kyuuñ

    ham bā.is-e-rāhat jise samjhe the vo lamha

    ab apne liye bā.is-e-ālām huā kyuuñ

    ai ishq falak par tujhe likhā jo ḳhudā ne

    phir terā muqaddar bhalā ib.hām huā kyuuñ

    ai ishq tirā naam hai jab sach alāmat

    ai ishq rusvā yuuñ sar-e-ām huā kyuuñ

    jab ek sajde meñ tirā bhed chhupā hai

    phir sañg-e-malāmat tirā daam huā kyuuñ

    ai aañkh be-ḳhvāb hai ḳhvāboñ talab meñ

    ye hijr āḳhir tirā in.aam huā kyuuñ

    chehre pe tire kis liye hairat hai abhī tak

    ye itnī vazāhat pe bhī ib.hām huā kyuuñ

    is dil ko hai mahbūb vahī dard naġhma

    is dil meñ ta.ajjub hai ye kohrām huā kyuuñ

    jo terī mohabbat ko samajh nahīñ paayā

    'shāhīn' ye dil us ke bhalā naam huā kyuuñ

    phir misr ke bazar mein nilam hua kyun

    ai ishq bata tera ye anjam hua kyun

    hum bais-e-rahat jise samjhe the wo lamha

    ab apne liye bais-e-alam hua kyun

    ai ishq falak par tujhe likha jo KHuda ne

    phir tera muqaddar bhala ibham hua kyun

    ai ishq tera nam hai jab sach ki alamat

    ai ishq tu ruswa yun sar-e-am hua kyun

    jab ek hi sajde mein tera bhed chhupa hai

    phir sang-e-malamat hi tera dam hua kyun

    ai aankh tu be-KHwab hai KHwabon ki talab mein

    ye hijr hi aaKHir tera inam hua kyun

    chehre pe tere kis liye hairat hai abhi tak

    ye itni wazahat pe bhi ibham hua kyun

    is dil ko hai mahbub wahi dard ka naghma

    is dil mein tajjub hai ye kohram hua kyun

    jo teri mohabbat ko samajh hi nahin paya

    'shahin' ye dil us ke bhala nam hua kyun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now