Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir pareshan-haal hai qalb-o-jigar kya kijiye

Pandit Vidya Rattan Asi

phir pareshan-haal hai qalb-o-jigar kya kijiye

Pandit Vidya Rattan Asi

MORE BYPandit Vidya Rattan Asi

    phir pareshāñ-hāl hai qalb-o-jigar kyā kījiye

    ab ilāj-e-gardish-e-shām-o-sahar kyā kījiye

    mehrbāñ ho bhī agar ab chārāgar kyā kījiye

    kar chukā hai dard is dil meñ ghar kyā kījiye

    dekhiye kab maut jhoñkā bujhā Daale ise

    zindagī hai ik charāġh-e-rahguzar kyā kījiye

    ham se hotā nahīñ dard-e-mohabbat ilaaj

    ab yahī karte haiñ ham kuchh soch kar kyā kījiye

    rāhat-o-ārām is meñ nahīñ koī guzar

    ho rahī hai zindagī phir bhī basar kyā kījiye

    jab hamāre lab pe aatī hai kabhī matlab baat

    hañs diyā karte haiñ vo muñh pher kar kyā kījiye

    sochte haiñ hāl-e-dil ho kis tarah un se bayāñ

    vo bigaḌ jaate haiñ har ik baat par kyā kījiye

    ham ne jin chaah meñ barbād kar zindagī

    ham pe hotī nahīñ un nazar kyā kījiye

    ham ne 'āsī' un har ilzām apne sar liyā

    apne dushman the hamīñ kuchh is qadar kyā kījiye

    phir pareshan-haal hai qalb-o-jigar kya kijiye

    ab ilaj-e-gardish-e-sham-o-sahar kya kijiye

    mehrban ho bhi agar ab chaaragar kya kijiye

    kar chuka hai dard hi is dil mein ghar kya kijiye

    dekhiye kab maut ka jhonka bujha Dale ise

    zindagi hai ek charagh-e-rahguzar kya kijiye

    hum se hota hi nahin dard-e-mohabbat ka ilaj

    ab yahi karte hain hum kuchh soch kar kya kijiye

    rahat-o-aram ka is mein nahin koi guzar

    ho rahi hai zindagi phir bhi basar kya kijiye

    jab hamare lab pe aati hai kabhi matlab ki baat

    hans diya karte hain wo munh pher kar kya kijiye

    sochte hain haal-e-dil ho kis tarah un se bayan

    wo bigaD jate hain har ek baat par kya kijiye

    hum ne jin ki chah mein barbaad kar di zindagi

    hum pe hoti hi nahin un ki nazar kya kijiye

    hum ne 'asi' un ka har ilzam apne sar liya

    apne dushman the hamin kuchh is qadar kya kijiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now