Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir rah dikha mujhko ai mashrab-e-rindana

Raza Jaunpuri

phir rah dikha mujhko ai mashrab-e-rindana

Raza Jaunpuri

MORE BYRaza Jaunpuri

    phir raah dikhā mujh ko ai mashrab-e-rindāna

    kuchh bahs nahīñ is se ka.aba hai ki but-ḳhāna

    ḳham hai na subūhī hai shīsha hai na paimāna

    kyā jaane kahāñ ġham hai tābānī-e-mai-ḳhāna

    is tarah bhī hotī hai tash.hīr-e-vafā aksar

    phirtī hai sabā le kar ḳhākistar-e-parvāna

    vus.at-e-sahrā qadmoñ ne pazīrā.ī

    mujh na koī hogā shā.ista-e-vīrāna

    har riñd-e-balā-kash par girtī hai sar-e-mahfil

    barq-e-nigah-e-sāqī paimāna-ba-paimāna

    irfān-e-talab kahiye tark-e-talab us ko

    manzil shanāsā bhī manzil se hai begāna

    kuchh ḳhār-e-chaman bhī ho zikr chaman-sāzo

    ġhunchoñ bayāñ tā-kai afsāna-dar-afsāna

    farzāngī-e-dil bhī kuchh chāhiye vahshat meñ

    dīvāna sar-e-mahfil ban jaa.e na dīvāna

    thī sham-e-farozāñ tarġhīb-e-jigar-sozī

    aag meñ ḳhud apnī jal uTThā hai parvāna

    asrār do-ālam ke khulte haiñ 'razā' dil par

    takvīn-e-azal hai mahram dil-e-dīvāna

    phir rah dikha mujh ko ai mashrab-e-rindana

    kuchh bahs nahin is se kaba hai ki but-KHana

    KHam hai na subuhi hai shisha hai na paimana

    kya jaane kahan gham hai tabani-e-mai-KHana

    is tarah bhi hoti hai tashhir-e-wafa aksar

    phirti hai saba le kar KHakistar-e-parwana

    ki wusat-e-sahra ki qadmon ne pazirai

    mujh sa na koi hoga shaista-e-virana

    har rind-e-bala-kash par girti hai sar-e-mahfil

    barq-e-nigah-e-saqi paimana-ba-paimana

    irfan-e-talab kahiye ya tark-e-talab us ko

    manzil ka shanasa bhi manzil se hai begana

    kuchh KHar-e-chaman ka bhi ho zikr chaman-sazo

    ghunchon ka bayan ta-kai afsana-dar-afsana

    farzangi-e-dil bhi kuchh chahiye wahshat mein

    diwana sar-e-mahfil ban jae na diwana

    thi sham-e-farozan ki targhib-e-jigar-sozi

    ya aag mein KHud apni jal uTTha hai parwana

    asrar do-alam ke khulte hain 'raza' dil par

    takwin-e-azal ka hai mahram dil-e-diwana

    Source:

    Zakhma (Pg. 78)

    • Author: Raza Jaunpuri
      • Edition: 1978
      • Publisher: Uttar Pradesh Urdu Academy, Lucknow
      • Year of Publication: 1978
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now