phir se kitab-e-ishq ki tafsir dekhiye
phir se kitāb-e-'ishq kī tafsīr dekhiye
yā phir hamāre paañv kī zanjīr dekhiye
ik shaḳhs mahv-e-ḳhvāb nazar aaya ḳhvāb meñ
ab aap mere ḳhvāb kī tā'bīr dekhiye
āh-o-fuġhāñ kī koī sadā.eñ nahīñ rahīñ
ye bhī hamāre dard kī tāsīr dekhiye
uktā na jaa.eñ aap kahīñ intizār se
kyoñ un ko aane meñ huī tāḳhīr dekhiye
phir se kitab-e-'ishq ki tafsir dekhiye
ya phir hamare panw ki zanjir dekhiye
ek shaKHs mahw-e-KHwab nazar aaya KHwab mein
ab aap mere KHwab ki ta'bir dekhiye
aah-o-fughan ki koi sadaen nahin rahin
ye bhi hamare dard ki tasir dekhiye
ukta na jaen aap kahin intizar se
kyon un ko aane mein hui taKHir dekhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.