Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir shaitanon ki fitrat ne majbur kiya insanon ko

Abul Fitrat Meer Zaidi

phir shaitanon ki fitrat ne majbur kiya insanon ko

Abul Fitrat Meer Zaidi

MORE BYAbul Fitrat Meer Zaidi

    phir shaitānoñ fitrat ne majbūr kiyā insānoñ ko

    phir insānoñ bastī se mahrūm kareñ shaitānoñ ko

    kāshānoñ meñ rahne vaale ābād kareñ vīrānoñ ko

    ye dīvāne haiñ dīvāne kyā kahte haiñ dīvānoñ ko

    ilhād zulmat duur huī īmān sham'oñ se kah do

    tajdīd-e-mohabbat bhī hogī āvāz to do parvānoñ ko

    barbād tamannā.eñ luT-piT kar dil meñ aane vaalī haiñ

    muhtāt raheñ dil vaale bhī taklīf na ho mehmānoñ ko

    kaliyoñ pe javānī aanā āġhāz-e-qayāmat hotā hai

    tauhīn-e-junūñ is mausam meñ manzūr nahīñ dīvānoñ ko

    tā’rīf nahīñ fitrat is ko īmān quvvat kahtī hai

    ik mard-e-mujāhid nā'ra taḌpā to gayā sultānoñ ko

    dariyā meñ hamārī kashtī ko tūfān ḳhatra nā-mumkin

    dar-asl bachāne vaale haiñ tūfānoñ se tūfānoñ ko

    phir arsh-e-mu’allā se 'zaidī' talvār 'atā qudrat ne

    duniyā maidān hamārā hai ye kaun kahe nā-dānoñ ko

    phir shaitanon ki fitrat ne majbur kiya insanon ko

    phir insanon ki basti se mahrum karen shaitanon ko

    kashanon mein rahne wale aabaad karen viranon ko

    ye diwane hain diwane kya kahte hain diwanon ko

    ilhad ki zulmat dur hui iman ki sham'on se kah do

    tajdid-e-mohabbat bhi hogi aawaz to do parwanon ko

    barbaad tamannaen luT-piT kar dil mein aane wali hain

    muhtat rahen dil wale bhi taklif na ho mehmanon ko

    kaliyon pe jawani ka aana aaghaz-e-qayamat hota hai

    tauhin-e-junun is mausam mein manzur nahin diwanon ko

    ta’rif nahin fitrat is ko iman ki quwwat kahti hai

    ek mard-e-mujahid ka na'ra taDpa to gaya sultanon ko

    dariya mein hamari kashti ko tufan ka KHatra na-mumkin

    dar-asl bachane wale hain tufanon se tufanon ko

    phir arsh-e-mu’alla se 'zaidi' talwar 'ata ki qudrat ne

    duniya maidan hamara hai ye kaun kahe na-danon ko

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now