Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir suraj ne shahr pe apne qahr ka yun aaghaz kiya

Siraj Ajmali

phir suraj ne shahr pe apne qahr ka yun aaghaz kiya

Siraj Ajmali

MORE BYSiraj Ajmali

    phir sūraj ne shahr pe apne qahr yuuñ āġhāz kiyā

    jin jin ke lambe dāman the un ifshā raaz kiyā

    zahr-e-nasīhat tīr-e-malāmat dars-e-haqīqat sab ne diye

    ek vahī thā jis ne merī har aadat par naaz kiyā

    naqd-e-ta.alluq ḳhuub kamāyā lekin ḳharch are tauba

    ye to batāo kal ḳhātir kyā kuchh pas-andāz kiyā

    shahr meñ is kaifiyat hai kaun muharrik kuchh to kaho

    jis kaifiyat ne tum ko dīvānoñ meñ mumtāz kiyā

    kū-e-malāmat ke bāshinde tum ko sajda karte haiñ

    kis ne is bastī meñ āḳhir aise sar-afrāz kiyā

    dehlī meñ rahnā hai agar to tarz-e-mīr zarūrī hai

    us ne bhī to ishq kiyā phir yaañ rahnā āġhāz kiyā

    pahle uḌne dāvat tā-hadd-e-imkān 'sirāj'

    phir jaane kyuuñ ḳhud us ne qat.a par-e-parvāz kiyā

    phir suraj ne shahr pe apne qahr ka yun aaghaz kiya

    jin jin ke lambe daman the un ka ifsha raaz kiya

    zahr-e-nasihat tir-e-malamat dars-e-haqiqat sab ne diye

    ek wahi tha jis ne meri har aadat par naz kiya

    naqd-e-talluq KHub kamaya lekin KHarch are tauba

    ye to batao kal ki KHatir kya kuchh pas-andaz kiya

    shahr mein is kaifiyat ka hai kaun muharrik kuchh to kaho

    jis kaifiyat ne tum ko diwanon mein mumtaz kiya

    ku-e-malamat ke bashinde tum ko sajda karte hain

    kis ne is basti mein aaKHir aise sar-afraaz kiya

    dehli mein rahna hai agar to tarz-e-mir zaruri hai

    us ne bhi to ishq kiya phir yan rahna aaghaz kiya

    pahle uDne ki dawat di ta-hadd-e-imkan 'siraj'

    phir jaane kyun KHud hi us ne qata par-e-parwaz kiya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now