aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir taDap ke qarar likhna hai

Mohammad Saif Babar

phir taDap ke qarar likhna hai

Mohammad Saif Babar

MORE BYMohammad Saif Babar

    phir taḌap ke qarār likhnā hai

    ishq likhnā hai pyaar likhnā hai

    zindagī mutālba dekho

    zindagī ko bhī yaar likhnā hai

    zahr hai asar fazāoñ meñ

    aur ham ko bahār likhnā hai

    le ke sar aa ga.e haiñ maqtal meñ

    dostoñ ye haar likhnā hai

    us ne kāñToñ ko phuul likh Daalā

    ham ko phūloñ ko ḳhaar likhnā hai

    'saif' chal chal ke thak ga.e haiñ ham

    ab sukūñ aur qarār likhnā hai

    phir taDap ke qarar likhna hai

    ishq likhna hai pyar likhna hai

    zindagi ka mutalba dekho

    zindagi ko bhi yar likhna hai

    zahr ka hai asar fazaon mein

    aur hum ko bahaar likhna hai

    le ke sar aa gae hain maqtal mein

    doston ki ye haar likhna hai

    us ne kanTon ko phul likh Dala

    hum ko phulon ko KHar likhna hai

    'saif' chal chal ke thak gae hain hum

    ab sukun aur qarar likhna hai

    Source:

    Majbooriyan Aisi Hain (Pg. 10)

    • Author: Mohammad Saif Babar
      • Year of Publication: 2002
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now