Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir taKHayyul yun kisi ka mujhko bahlane laga

Nasreen Naqqash

phir taKHayyul yun kisi ka mujhko bahlane laga

Nasreen Naqqash

MORE BYNasreen Naqqash

    phir taḳhayyul yuuñ kisī mujh ko bahlāne lagā

    qurb jaise dūriyoñ ruup apnāne lagā

    us ke chehre ziyā-pāshī ko shab meñ dekh kar

    chāñdnī to chāñdnī hai chāñd sharmāne lagā

    jaan kar toḌā kisī ne jab khilaunā pyaar

    dil koī TuuTe khilaune se bahlāne lagā

    ahl-e-mahfil nazar meñ jaise ik mujrim thī maiñ

    uTh ke jab vo shoḳh pahlū se mire jaane lagā

    bārhā tark-e-ta'alluq ke liye sochā magar

    baḌh ke aage dil mirā mujh ko samjhāne lagā

    Thokareñ khā kar huā māyūs jab vo ġhair se

    zulf merī haath meñ le kar vo suljhāne lagā

    dil-jaloñ saf meñ ai 'nasrīn' bhī aa ga.ī

    ab tire rañg-e-taġhazzul meñ maza aane lagā

    phir taKHayyul yun kisi ka mujh ko bahlane laga

    qurb jaise duriyon ka rup apnane laga

    us ke chehre ki ziya-pashi ko shab mein dekh kar

    chandni to chandni hai chand sharmane laga

    jaan kar toDa kisi ne jab khilauna pyar ka

    dil koi TuTe khilaune hi se bahlane laga

    ahl-e-mahfil ki nazar mein jaise ek mujrim thi main

    uTh ke jab wo shoKH pahlu se mere jaane laga

    barha tark-e-ta'alluq ke liye socha magar

    baDh ke aage dil mera mujh ko hi samjhane laga

    Thokaren kha kar hua mayus jab wo ghair se

    zulf meri hath mein le kar wo suljhane laga

    dil-jalon ki saf mein ai 'nasrin' tu bhi aa gai

    ab tere rang-e-taghazzul mein maza aane laga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now