Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir wahi tajdid-e-mausam ho gai

Ayaz Azmi

phir wahi tajdid-e-mausam ho gai

Ayaz Azmi

MORE BYAyaz Azmi

    phir vahī tajdīd-e-mausam ho ga.ī

    vo lahū barsā zamīñ nam ho ga.ī

    barg-o-gul ke jism niile paḌ ga.e

    baaġh taaza havā sam ho ga.ī

    kyā kahā mauj-e-havā ne shaam se

    lau charāġhoñ jo maddham ho ga.ī

    kyā ḳhabar kis soch meñ Duubā hai chāñd

    bām-o-dar raushnī kam ho ga.ī

    ishq maidān ḳhālī ho gayā

    shauq talvār be-dam ho ga.ī

    āsmāñ se rif.ateñ nāzil huiiñ

    jab jabīñ insān ḳham ho ga.ī

    ye havā-e-sard lahreñ 'ayāz'

    āñsuoñ buuñd shabnam ho ga.ī

    phir wahi tajdid-e-mausam ho gai

    wo lahu barsa zamin nam ho gai

    barg-o-gul ke jism nile paD gae

    bagh ki taza hawa sam ho gai

    kya kaha mauj-e-hawa ne sham se

    lau charaghon ki jo maddham ho gai

    kya KHabar kis soch mein Duba hai chand

    baam-o-dar ki raushni kam ho gai

    ishq ka maidan KHali ho gaya

    shauq ki talwar be-dam ho gai

    aasman se rifaten nazil huin

    jab jabin insan ki KHam ho gai

    ye hawa-e-sard ki lahren 'ayaz'

    aansuon ki bund shabnam ho gai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now