Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir ye kaisa udheD-bun sa laga

Mushafi Ghulam Hamdani

phir ye kaisa udheD-bun sa laga

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    phir ye kaisā udheḌ-bun lagā

    jān-e-ġham-dīda ko jo ghan lagā

    us galī meñ jo maiñ uThā gaahe

    pā-e-ḳhvābīda mujh ko sun lagā

    us ne jis vaqt aur sar kheñchā

    naḳhl-e-qad us sarv-bun lagā

    us ke chhalle ke haiñ jo gul khaa.e

    daaġh har ik badan pe hun lagā

    āḳhir-e-umr apnī nazroñ meñ

    jāma-e-zindagī kuhan lagā

    kashtī-e-chashm-e-tar khiñchī hai udhar

    hai jidhar tār-e-ashk gun lagā

    yār-e-dharmātmā pyaar ke saath

    bosa denā bhī mujh ko pun lagā

    jab dil-e-soḳhta pe zaḳhm-e-mizha

    nazar aayā vo saaf pun lagā

    maiñ sunā 'mus.hafī' ko piirī meñ

    mujh ko ḳhele vo ḳhush-suḳhan lagā

    phir ye kaisa udheD-bun sa laga

    jaan-e-gham-dida ko jo ghan sa laga

    us gali mein jo main uTha gahe

    pa-e-KHwabida mujh ko sun sa laga

    us ne jis waqt aur sar khencha

    naKHl-e-qad us ka sarw-bun sa laga

    us ke chhalle ke hain jo gul khae

    dagh har ek badan pe hun sa laga

    aaKHir-e-umr apni nazron mein

    jama-e-zindagi kuhan sa laga

    kashti-e-chashm-e-tar khinchi hai udhar

    hai jidhar tar-e-ashk gun sa laga

    yar-e-dharmatma ka pyar ke sath

    bosa dena bhi mujh ko pun sa laga

    jab dil-e-soKHta pe zaKHm-e-mizha

    nazar aaya wo saf pun sa laga

    main suna 'mushafi' ko piri mein

    mujh ko KHele wo KHush-suKHan sa laga

    Source :
    • Book : kulliyat-e-mas.hafii(hashtum) (Pg. 11)
    • Author : ghulaam hamdaanii mashafii
    • Publication : qaumi council baraye -farogh urdu (2004)
    • Edition : 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now