Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir ye mumkin hi nahin hai ki sambhaalo mujhko

Nitin Nayab

phir ye mumkin hi nahin hai ki sambhaalo mujhko

Nitin Nayab

MORE BYNitin Nayab

    phir ye mumkin nahīñ hai ki sambhālo mujh ko

    ik zarā qaid se bāhar to nikālo mujh ko

    is haqīqat bhī aamad ho mire hujre meñ

    chhoḌ ke jaao kabhī ḳhvābo ḳhayālo mujh ko

    jism ko dard meñ hañsne hunar aatā hai

    iltijā ye hai ki patthar meñ na Dhālo mujh ko

    maiñ ne pābandī lagā hai zabāñ par varna

    mudda.ā chīḳh rahā hai ki uchhālo mujh ko

    tab talak kūza-garo ḳhvāb hai ta.abīr mirī

    jab talak puurī tarah toḌ na Daalo mujh ko

    māvarā huuñ maiñ har ik lafz-e-suḳhan se jo mujhe

    tum ko paḌhnā hai to phir soch meñ Dhālo mujh ko

    lo maiñ kartā huuñ mirī ḳhaak tumhāre sipurd

    jaisī darkār ho vaisā banā lo mujh ko

    pahle malbe ko mire saaf karo uupar se

    phir mirī ḳhaak ke nīche se nikālo mujh ko

    āñkheñ neze pe Tike dekh ke apnī 'nāyāb'

    bol uThe ḳhvāb bhī ab to ki na paalo mujh ko

    phir ye mumkin hi nahin hai ki sambhaalo mujh ko

    ek zara qaid se bahar to nikalo mujh ko

    is haqiqat ki bhi aamad ho mere hujre mein

    chhoD ke jao kabhi KHwabo KHayalo mujh ko

    jism ko dard mein hansne ka hunar aata hai

    iltija ye hai ki patthar mein na Dhaalo mujh ko

    main ne pabandi laga di hai zaban par warna

    muddaa chiKH raha hai ki uchhaalo mujh ko

    tab talak kuza-garo KHwab hai tabir meri

    jab talak puri tarah toD na Dalo mujh ko

    mawara hun main har ek lafz-e-suKHan se jo mujhe

    tum ko paDhna hai to phir soch mein Dhaalo mujh ko

    lo main karta hun meri KHak tumhaare hi sipurd

    jaisi darkar ho waisa hi bana lo mujh ko

    pahle malbe ko mere saf karo upar se

    phir meri KHak ke niche se nikalo mujh ko

    aankhen neze pe Tike dekh ke apni 'nayab'

    bol uThe KHwab bhi ab to ki na palo mujh ko

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now