phir yun hua nikal na saka wo makan se
phir yuuñ huā nikal na sakā vo makān se
phirtā thā shahr meñ jo baḌī ān-bān se
us ke badan kī aañch ne pighlā diyā hameñ
varna paḌe khaḌe the bane ham chaTān se
dushman samajh ke jis se gurezāñ rahe haiñ ham
apnī kathā usī ne sunī kitne dhyān se
us kī nazar ke baan se koī na bach sakā
'kausar' chale the yuuñ to sabhī ān-bān se
phir yun hua nikal na saka wo makan se
phirta tha shahr mein jo baDi aan-ban se
us ke badan ki aanch ne pighla diya hamein
warna paDe khaDe the bane hum chaTan se
dushman samajh ke jis se gurezan rahe hain hum
apni katha usi ne suni kitne dhyan se
us ki nazar ke ban se koi na bach saka
'kausar' chale the yun to sabhi aan-ban se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.