phir zaban-e-ishq chashm-e-KHunfishan hone lagi

Faizi Nizam Puri

phir zaban-e-ishq chashm-e-KHunfishan hone lagi

Faizi Nizam Puri

MORE BYFaizi Nizam Puri

  phir zabān-e-ishq chashm-e-ḳhūñfishāñ hone lagī

  phir hadīs-e-dil sar-e-mahfil bayāñ hone lagī

  phir kisī shoḳh nazroñ ne kiyā jhuk kar salām

  phir mohabbat sāz-e-dil pe naġhma-ḳhvāñ hone lagī

  phir kisī yaad aa.ī phir hue aañsū ravāñ

  phir sitāroñ chamak dil par garāñ hone lagī

  phir tasavvur meñ koī aane lagā hai bār-bār

  phir mirī ummīd duniyā javāñ hone lagī

  phir chaman meñ ġhuncha-e-nauras ne liiñ añgḌā.iyāñ

  phir surūd-afzā bahār-e-gulistāñ hone lagī

  phir pukārā chāñd-tāroñ ne mujhe shām-e-firāq

  phir nigāh-e-shauq nazr-e-āsmāñ hone lagī

  phir kisī dāman-e-rañgīñ hai merā haath hai

  phir dil-e-pur-shauq hasrat ayaañ hone lagī

  phir samāyā hai mirī nazroñ meñ vo māh-e-mubīñ

  phir nigāh-e-dil javāb-e-āsmāñ hone lagī

  phir ghaTā uThne lagī tauba ke phir laale paḌe

  phir ḳhushāmad terī ai pīr-e-muġhāñ hone lagī

  phir chalā dīvāna 'faizī' kū-e-jānāñ taraf

  phir junūn-e-ishq hālat ayaañ hone lagī

  phir zaban-e-ishq chashm-e-KHunfishan hone lagi

  phir hadis-e-dil sar-e-mahfil bayan hone lagi

  phir kisi ki shoKH nazron ne kiya jhuk kar salam

  phir mohabbat saz-e-dil pe naghma-KHwan hone lagi

  phir kisi ki yaad aai phir hue aansu rawan

  phir sitaron ki chamak dil par garan hone lagi

  phir tasawwur mein koi aane laga hai bar-bar

  phir meri ummid ki duniya jawan hone lagi

  phir chaman mein ghuncha-e-nauras ne lin angDaiyan

  phir surud-afza bahaar-e-gulistan hone lagi

  phir pukara chand-taron ne mujhe sham-e-firaq

  phir nigah-e-shauq nazr-e-asman hone lagi

  phir kisi ka daman-e-rangin hai mera hath hai

  phir dil-e-pur-shauq ki hasrat ayan hone lagi

  phir samaya hai meri nazron mein wo mah-e-mubin

  phir nigah-e-dil jawab-e-asman hone lagi

  phir ghaTa uThne lagi tauba ke phir lale paDe

  phir KHushamad teri ai pir-e-mughan hone lagi

  phir chala diwana 'faizi' ku-e-jaanan ki taraf

  phir junun-e-ishq ki haalat ayan hone lagi

  Source:

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY