Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir zaKHmon ko dhone ka dil karta hai

Santosh khirvadkar

phir zaKHmon ko dhone ka dil karta hai

Santosh khirvadkar

MORE BYSantosh khirvadkar

    phir zaḳhmoñ ko dhone dil kartā hai

    chupke chupke rone dil kartā hai

    jab jab bhī maiñ tujh ko dekhūñ ai dilbar

    apnā sab kuchh khone dil kartā hai

    hotī hai ġham yūrish jab is tan par

    chādar taan ke sone dil kartā hai

    kaale kaale bādal jhuum ke barseñ to

    tujh ko sang bhigone dil kartā hai

    rote dekhūñ jab 'santosh' kisī ko maiñ

    tab merā bhī rone dil kartā hai

    phir zaKHmon ko dhone ka dil karta hai

    chupke chupke rone ka dil karta hai

    jab jab bhi main tujh ko dekhun ai dilbar

    apna sab kuchh khone ka dil karta hai

    hoti hai gham ki yurish jab is tan par

    chadar tan ke sone ka dil karta hai

    kale kale baadal jhum ke barsen to

    tujh ko sang bhigone ka dil karta hai

    rote dekhun jab 'santosh' kisi ko main

    tab mera bhi rone ka dil karta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now