Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phirta hun bhaTakta koi rahbar nahin milta

Meer Shamsuddeen Faiz

phirta hun bhaTakta koi rahbar nahin milta

Meer Shamsuddeen Faiz

MORE BYMeer Shamsuddeen Faiz

    phirtā huuñ bhaTaktā koī rahbar nahīñ miltā

    hai vo nighrā us mujhe ghar nahīñ miltā

    yārab maraz-e-ishq hai koī balā hai

    chain is dil-e-betāb ko dam bhar nahīñ miltā

    ham kis se kareñ da.ava-e-ḳhūñ kījiye insāf

    maqtūl haiñ jis ke vo sitamgar nahīñ miltā

    sab ārzūeñ dil ba-ḳhūbī nikal aa.eñ

    tanhā vo kabhī ham se ghaḌī bhar nahīñ miltā

    naqd-e-dil-o-jāñ nazr karūñ muft lekin

    mujh ko mire Dhab koī dilbar nahīñ miltā

    achchhā kiyā jo aa rahe āñkhoñ meñ vo 'faiz'

    aisā kahīñ duniyā meñ unheñ ghar nahīñ miltā

    phirta hun bhaTakta koi rahbar nahin milta

    hai wo nighra us ka mujhe ghar nahin milta

    yarab maraz-e-ishq hai ya koi bala hai

    chain is dil-e-betab ko dam bhar nahin milta

    hum kis se karen dawa-e-KHun kijiye insaf

    maqtul hain jis ke wo sitamgar nahin milta

    sab aarzuen dil ki ba-KHubi nikal aaen

    tanha wo kabhi hum se ghaDi bhar nahin milta

    naqd-e-dil-o-jaan nazr karun muft hi lekin

    mujh ko mere Dhab ka koi dilbar nahin milta

    achchha kiya jo aa rahe aankhon mein hi wo 'faiz'

    aisa kahin duniya mein unhen ghar nahin milta

    Source:

    Faiz-e-Sukhan (Pg. 63)

    • Author: Meer Shamsuddeen Faiz
      • Publisher: Shamsul Matabe, Hyderabad
      • Year of Publication: 1937
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now