phisalne wala tha KHud ko magar sambhaal gaya

Mubarak Ansari

phisalne wala tha KHud ko magar sambhaal gaya

Mubarak Ansari

MORE BYMubarak Ansari

  phisalne vaalā thā ḳhud ko magar sambhāl gayā

  ajiib shaḳhs thā vo baat hans ke Taal gayā

  badalne vaalī hai rut sā.ebān se niklo

  jo sho.ala-bār thā vo abr barshgāl gayā

  tum apne aap ko pahchān bhī na pāoge

  vo raushnī meñ añdherā agar uchhāl gayā

  naqāb apnī burā.ī pe Dālnī thī use

  vo ke ḳhaak mirī nekiyoñ pe Daal gayā

  qusūr-vār maiñ Thahrā.ūñ ā.īne ko kyuuñ

  jo boltā thā tirā ab vo ḳhadd-o-ḳhāl gayā

  mizāj apnā 'mubārak' badal diyā maiñ ne

  ḳhayāl us ga.e vaqt misāl gayā

  phisalne wala tha KHud ko magar sambhaal gaya

  ajib shaKHs tha wo baat hans ke Tal gaya

  badalne wali hai rut saeban se niklo

  jo shoala-bar tha wo abr barshgal gaya

  tum apne aap ko pahchan bhi na paoge

  wo raushni mein andhera agar uchhaal gaya

  naqab apni burai pe Dalni thi use

  wo la ke KHak meri nekiyon pe Dal gaya

  qusur-war main Thahraun aaine ko kyun

  jo bolta tha tera ab wo KHadd-o-KHal gaya

  mizaj apna 'mubarak' badal diya main ne

  KHayal us ka gae waqt ki misal gaya

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY