Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phul ki baaten karo ya Khaar ki baaten karo

Ishrat Jahangirpuri

phul ki baaten karo ya Khaar ki baaten karo

Ishrat Jahangirpuri

MORE BYIshrat Jahangirpuri

    phuul bāteñ karo ḳhaar bāteñ karo

    gulsitāñ vaalo magar me'yār bāteñ karo

    ahl-e-‘ālam ġhuncha-o-gul ke fasāne chhoḌ do

    hai agar himmat to baḌh kar daar bāteñ karo

    nāseho zikr-e-rah-e-dair-o-haram be-faiz hai

    merā dil kahtā hai kū-e-yār bāteñ karo

    āshiyāñ sehn-e-gulshan ravish zikr kyā

    aaj to sayyād raftār bāteñ karo

    ahl-e-sāhil zikr-e-sāhil se to uktā gayā

    sharh tūfāñ karo mañjdhār bāteñ karo

    sun rahā huuñ der se mashq-e-jafā dāstāñ

    kaash yūñhī tum mire īsār bāteñ karo

    dil dhaḌak uThtā hai ho jaatā hai barham nazm-e-hosh

    jab kabhī un ke lab-o-ruḳhsār bāteñ karo

    kis ne 'ishrat' kah diyā ye shā'irī āsān hai

    pahle sīkho nasr phir ash'ār bāteñ karo

    phul ki baaten karo ya KHar ki baaten karo

    gulsitan walo magar me'yar ki baaten karo

    ahl-e-‘alam ghuncha-o-gul ke fasane chhoD do

    hai agar himmat to baDh kar dar ki baaten karo

    naseho zikr-e-rah-e-dair-o-haram be-faiz hai

    mera dil kahta hai ku-e-yar ki baaten karo

    aashiyan ka sehn-e-gulshan ka rawish ka zikr kya

    aaj to sayyaad ki raftar ki baaten karo

    ahl-e-sahil zikr-e-sahil se to ji ukta gaya

    sharh tufan ki karo manjdhaar ki baaten karo

    sun raha hun der se mashq-e-jafa ki dastan

    kash yunhi tum mere isar ki baaten karo

    dil dhaDak uThta hai ho jata hai barham nazm-e-hosh

    jab kabhi un ke lab-o-ruKHsar ki baaten karo

    kis ne 'ishrat' kah diya ye sha'iri aasan hai

    pahle sikho nasr phir ash'ar ki baaten karo

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now