Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phul meri zat ke sahraon mein bo jaega

Mohammad Naim Jawed Naim

phul meri zat ke sahraon mein bo jaega

Mohammad Naim Jawed Naim

MORE BYMohammad Naim Jawed Naim

    phuul merī zaat ke sahrāoñ meñ bo jā.egā

    aane vaalī bārishoñ meñ vo mirā ho jā.egā

    vo to ik darvesh hai shahr-e-vafā ḳhaak par

    hijr oḌhegā chādar chain se so jā.egā

    koī bhī martā nahīñ hai marne vaale ke liye

    vo bhī sab ke saath aa.egā mujhe ro jā.egā

    chāñd tāroñ mohabbat zeb detī hai use

    bas ye ḳhadsha hai ḳhalāoñ meñ kahīñ kho jā.egā

    vo agar barse to saarī gard dasht-e-hijr

    ek pal meñ tez bārish tarah dho jā.egā

    ek ban kar rahegā to zamāna hai 'na.īm'

    bevafā jis din huā lamhoñ vo ho jā.egā

    phul meri zat ke sahraon mein bo jaega

    aane wali barishon mein wo mera ho jaega

    wo to ek darwesh hai shahr-e-wafa ki KHak par

    hijr ki oDhega chadar chain se so jaega

    koi bhi marta nahin hai marne wale ke liye

    wo bhi sab ke sath aaega mujhe ro jaega

    chand taron ki mohabbat zeb deti hai use

    bas ye KHadsha hai KHalaon mein kahin kho jaega

    wo agar barse to sari gard dasht-e-hijr ki

    ek pal mein tez barish ki tarah dho jaega

    ek ka ban kar rahega to zamana hai 'naim'

    bewafa jis din hua lamhon ka wo ho jaega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now