Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phul pari jab uD jaegi phir mangenge KHushbu log

Ali Akbar Natiq

phul pari jab uD jaegi phir mangenge KHushbu log

Ali Akbar Natiq

MORE BYAli Akbar Natiq

    phuul parī jab uḌ jā.egī phir māñgeñge ḳhushbū log

    vahshī naafā girāñ na rahe to DhūñDne bhāge har log

    chhūne chale ho duniyā ko tum ik saaya hai haath na aa.e

    jaadū hai ye niil puḌiyā ham jaadū aur jaadū log

    pher ulaT hai charḳh-e-jahān saath nibhā.e kis jigar

    ḳhuun piyā hai jas ne hamārā p ga.e us ke aañsū log

    bhaag sake to bhaag le manvā nāḳhunoñ vaalī bastī se

    kaise nibhegī is jangal meñ ye chīte ham aahū log

    ham ki ġhazālāñ shahr-e-amāñ rasta pūchhte phirte haiñ

    sehn-e-haram ko rok ke baiThe najd-e-sag aur baddū log

    phul pari jab uD jaegi phir mangenge KHushbu log

    wahshi nafa giran na rahe to DhunDne bhage har su log

    chhune chale ho duniya ko tum ek saya hai hath na aae

    jadu hai ye nil ki puDiya hum jadu aur jadu log

    pher ulaT hai charKH-e-jahan ka sath nibhae kis ka jigar

    KHun piya hai jas ne hamara p gae us ke aansu log

    bhag sake to bhag le manwa naKHunon wali basti se

    kaise nibhegi is jangal mein ye chite hum aahu log

    hum ki ghazalan shahr-e-aman ka rasta puchhte phirte hain

    sehn-e-haram ko rok ke baiThe najd-e-sag aur baddu log

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now