Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phul patthar ki chaTanon pe khilaen hum bhi

Hosh Jaunpuri

phul patthar ki chaTanon pe khilaen hum bhi

Hosh Jaunpuri

MORE BYHosh Jaunpuri

    phuul patthar chaTānoñ pe khilā.eñ ham bhī

    aap kahiye to koī sher sunā.eñ ham bhī

    ret par khelte bachchoñ nazar se bach kar

    aao ik ḳhvāb tasvīr banā.eñ ham bhī

    ab ke mausam havāoñ meñ baḌī vahshat hai

    zard pattoñ tarah TuuT na jaa.eñ ham bhī

    qāfile aur bhī is dasht se guzre hoñge

    le ke aa.e haiñ faqīroñ se duā.eñ ham bhī

    log jalte hue ghar dekh ke ḳhush hote haiñ

    apnā ghar ho to kabhī aag lagā.eñ ham bhī

    muntazir hai koī vaadī koī bastī koī dasht

    ab pahāḌoñ se pighal kar utar aa.eñ ham bhī

    ham se kyā kahte ho fayyāzī-e-dast-e-ḳhairāt

    isī kūche meñ lagāte haiñ sadā.eñ ham bhī

    phul patthar ki chaTanon pe khilaen hum bhi

    aap kahiye to koi sher sunaen hum bhi

    ret par khelte bachchon ki nazar se bach kar

    aao ek KHwab ki taswir banaen hum bhi

    ab ke mausam ki hawaon mein baDi wahshat hai

    zard patton ki tarah TuT na jaen hum bhi

    qafile aur bhi is dasht se guzre honge

    le ke aae hain faqiron se duaen hum bhi

    log jalte hue ghar dekh ke KHush hote hain

    apna ghar ho to kabhi aag lagaen hum bhi

    muntazir hai koi wadi koi basti koi dasht

    ab pahaDon se pighal kar utar aaen hum bhi

    hum se kya kahte ho fayyazi-e-dast-e-KHairaat

    isi kuche mein lagate hain sadaen hum bhi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now