Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phul se honT nahin jhil si aankhen bhi nahin

Amit Goswami

phul se honT nahin jhil si aankhen bhi nahin

Amit Goswami

MORE BYAmit Goswami

    phuul se hoñT nahīñ jhiil āñkheñ bhī nahīñ

    aaj pahlū meñ tirī marmarīñ bāheñ bhī nahīñ

    ḳhvāb TuuTe to maiñ bīnā.ī bhī kho baiThā huuñ

    yuuñ tujhe khoyā ki ab zehn meñ yādeñ bhī nahīñ

    haath chhūTe to huā haal ye mahrūmī

    ab mire hāthoñ meñ qismat lakīreñ bhī nahīñ

    nahīñ hai to hai be-rang shafaq shaam udaas

    aur pahle mahak aaj havā meñ bhī nahīñ

    vaqt kaTtā nahīñ sirf guzar jaatā hai

    sub.h sub.heñ nahīñ raat rāteñ bhī nahīñ

    phul se honT nahin jhil si aankhen bhi nahin

    aaj pahlu mein teri marmarin bahen bhi nahin

    KHwab TuTe to main binai bhi kho baiTha hun

    yun tujhe khoya ki ab zehn mein yaaden bhi nahin

    hath chhuTe to hua haal ye mahrumi ka

    ab mere hathon mein qismat ki lakiren bhi nahin

    tu nahin hai to hai be-rang shafaq sham udas

    aur pahle si mahak aaj hawa mein bhi nahin

    waqt kaTta hi nahin sirf guzar jata hai

    subh si subhen nahin raat si raaten bhi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now