Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phulon se chhup saka hai kahin gulsitan ka haal

Raghunath Sahai

phulon se chhup saka hai kahin gulsitan ka haal

Raghunath Sahai

MORE BYRaghunath Sahai

    phūloñ se chhup sakā hai kahīñ gulsitāñ haal

    ham jānte haiñ aaj hai jo is jahāñ haal

    nazroñ meñ dār-o-gīr 'ālam hai aaj bhī

    kis dil se ham batā.eñ tumheñ kārvāñ haal

    bijlī zad meñ aa gayā fasl-e-bahār meñ

    al-muḳhtasar yahī hai mere āshiyāñ haal

    naqsha kisī bazm āñkhoñ meñ phir gayā

    vaa.iz ne aaj chheḌā jo bāġh-e-jināñ haal

    hai fikr gul is ko na kaliyoñ kuchh ḳhayāl

    ham kyā batā.eñ aaj jo hai bāġhbāñ haal

    be-bāl-o-par paḌā huuñ qafas meñ chaman se duur

    kuchh to batāo mujh ko mire gulsitāñ haal

    mere gulsitāñ nahīñ baat ai 'umīd'

    hai ek aaj to saare jahāñ haal

    phulon se chhup saka hai kahin gulsitan ka haal

    hum jaante hain aaj hai jo is jahan ka haal

    nazron mein dar-o-gir ka 'alam hai aaj bhi

    kis dil se hum bataen tumhein karwan ka haal

    bijli ki zad mein aa gaya fasl-e-bahaar mein

    al-muKHtasar yahi hai mere aashiyan ka haal

    naqsha kisi ki bazm ka aankhon mein phir gaya

    waiz ne aaj chheDa jo bagh-e-jinan ka haal

    hai fikr gul ki is ko na kaliyon ka kuchh KHayal

    hum kya bataen aaj jo hai baghban ka haal

    be-baal-o-par paDa hun qafas mein chaman se dur

    kuchh to batao mujh ko mere gulsitan ka haal

    mere hi gulsitan ki nahin baat ai 'umid'

    hai ek hi sa aaj to sare jahan ka haal

    Source:

    SAAZ-O-NAVA (Pg. 58)

      • Publisher: Raghu Nath suhai ummid
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now