Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phulon se mohabbat hai sab ko kanTon se kisi ko pyar nahin

Bedar Bhopali

phulon se mohabbat hai sab ko kanTon se kisi ko pyar nahin

Bedar Bhopali

MORE BYBedar Bhopali

    phūloñ se mohabbat hai sab ko kāñToñ se kisī ko pyaar nahīñ

    ḳhushiyoñ meñ zamāna sāthī hai ġham hoñ to koī ġham-ḳhvār nahīñ

    faanī hai yahāñ har ik shai phir terī merī hastī kyā

    duniyā pe bharosa kyā karnā duniyā koī me.aar nahīñ

    har jor sitam manzūr unheñ har zulm gavāra hai un ko

    phir bhī to tire dīvānoñ qismat meñ tirā dīdār nahīñ

    ek ġham jo diyā hai ne mujhe vo umr hāsil hai merī

    ab is ke alāva kuchh mujh ko matlūb nahīñ darkār nahīñ

    kahne ko hamārī ġhazloñ meñ har lafz lahū qatra hai

    alfāz magar alfāz nahīñ ash.ār magar ash.ār nahīñ

    haiñ un se tasavvur meñ bāteñ yādoñ meñ munavvar haiñ rāteñ

    maiñ kaise samajh luuñ siine meñ ḳhvābīda hai bedār nahīñ

    phulon se mohabbat hai sab ko kanTon se kisi ko pyar nahin

    KHushiyon mein zamana sathi hai gham hon to koi gham-KHwar nahin

    fani hai yahan ki har ek shai phir teri meri hasti kya

    duniya pe bharosa kya karna duniya ka koi mear nahin

    har jor sitam manzur unhen har zulm gawara hai un ko

    phir bhi to tere diwanon ki qismat mein tera didar nahin

    ek gham jo diya hai tu ne mujhe wo umr ka hasil hai meri

    ab is ke alawa kuchh mujh ko matlub nahin darkar nahin

    kahne ko hamari ghazlon mein har lafz lahu ka qatra hai

    alfaz magar alfaz nahin ashaar magar ashaar nahin

    hain un se tasawwur mein baaten yaadon mein munawwar hain raaten

    main kaise samajh lun sine mein KHwabida hai bedar nahin

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now