Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phulon se rasm-o-rah kiye ja raha hun main

Hakim Mazhar Subhan Usmani

phulon se rasm-o-rah kiye ja raha hun main

Hakim Mazhar Subhan Usmani

MORE BYHakim Mazhar Subhan Usmani

    phūloñ se rasm-o-rāh kiye rahā huuñ maiñ

    amrit samajh ke zahr piye rahā huuñ maiñ

    ik uns ho gayā hai ġham-e-āshiqī ke saath

    dānista ik gunāh kiye rahā huuñ maiñ

    jis mujhe zamāne se qīmat na mil sakī

    vo kā.enāt-e-dard liye rahā huuñ meñ

    maanā ki zindagī mirī nākām hai magar

    koī to baat hai ki jiye rahā huuñ maiñ

    lākhoñ sitam udhar se idhar ek ḳhāmushī

    duniyā ko ik payām diye rahā huuñ maiñ

    dīvāngī meñ farz-shanāsī nahīñ ga.ī

    dāmān-e-gul ke chaak siye rahā huuñ maiñ

    'maz.har' kisī ke chashm-e-taġhāful ke bāvajūd

    ummīd-e-iltifāt kiye rahā huuñ maiñ

    phulon se rasm-o-rah kiye ja raha hun main

    amrit samajh ke zahr piye ja raha hun main

    ek uns ho gaya hai gham-e-ashiqi ke sath

    danista ek gunah kiye ja raha hun main

    jis ki mujhe zamane se qimat na mil saki

    wo kaenat-e-dard liye ja raha hun mein

    mana ki zindagi meri nakaam hai magar

    koi to baat hai ki jiye ja raha hun main

    lakhon sitam udhar se idhar ek KHamushi

    duniya ko ek payam diye ja raha hun main

    diwangi mein farz-shanasi nahin gai

    daman-e-gul ke chaak siye ja raha hun main

    'mazhar' kisi ke chashm-e-taghaful ke bawajud

    ummid-e-iltifat kiye ja raha hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now