Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phunki gham-e-firaq ne ye tan-badan mein aag

Shah Akbar Danapuri

phunki gham-e-firaq ne ye tan-badan mein aag

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    phūñkī ġham-e-firāq ne ye tan-badan meñ aag

    ab jism jagah hai mire pairahan meñ aag

    angāroñ par liTātī hai furqat meñ sair-e-bāġh

    ho merā iḳhtiyār to de duuñ chaman meñ aag

    abr-e-siyah nahīñ ye dhuāñ hai bharā huā

    kis ne lagā aaj sipahr-e-kuhan meñ aag

    kushte haiñ tere ruḳh ke jo ai ātishīñ-ezār

    le jā.eñge vo bāñdh ke apne kafan meñ aag

    ruḳhsat huī bahār ḳhizāñ ke din aa ga.e

    ai bāġhbāñ lagā de ab apne chaman meñ aag

    sahrā hamārī garmī-e-raftār se jalā

    apne soz-e-ġham ne lagā chaman meñ aag

    kis ne kiyā tire lab-e-lālīñ tazkira

    ahl-e-yaman ne aaj lagā yaman meñ aag

    zulfoñ se yuuñ ayaañ hai tirā rū-e-ātishīñ

    jaise lagī ho vādī-e-chīn-o-ḳhutan meñ aag

    'akbar' tirī zabān hai kyā sham.a zabān

    har fiqra terā sho.ala hai har har suḳhan meñ aag

    phunki gham-e-firaq ne ye tan-badan mein aag

    ab jism ki jagah hai mere pairahan mein aag

    angaron par liTati hai furqat mein sair-e-bagh

    ho mera iKHtiyar to de dun chaman mein aag

    abr-e-siyah nahin ye dhuan hai bhara hua

    kis ne laga di aaj sipahr-e-kuhan mein aag

    kushte hain tere ruKH ke jo ai aatishin-ezar

    le jaenge wo bandh ke apne kafan mein aag

    ruKHsat hui bahaar KHizan ke din aa gae

    ai baghban laga de ab apne chaman mein aag

    sahra hamari garmi-e-raftar se jala

    apne hi soz-e-gham ne laga di chaman mein aag

    kis ne kiya tere lab-e-lalin ka tazkira

    ahl-e-yaman ne aaj laga di yaman mein aag

    zulfon se yun ayan hai tera ru-e-atishin

    jaise lagi ho wadi-e-chin-o-KHutan mein aag

    'akbar' teri zaban hai kya shama ki zaban

    har fiqra tera shoala hai har har suKHan mein aag

    Source:

    Bagh-e-Khayal-e-Akbar (Pg. 57)

    • Author: Shah Akbar Danapuri
      • Publisher: Abulolai Press, Aagra
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now