aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phuT chuki hain subh ki kirnen suraj chaDhta jaega

Nazish Partap Gadhi

phuT chuki hain subh ki kirnen suraj chaDhta jaega

Nazish Partap Gadhi

MORE BYNazish Partap Gadhi

    phuuT chukī haiñ sub.h kirneñ sūraj chaḌhtā jā.egā

    raat to ḳhud martī hai sitāro tum ko kaun bachā.egā

    jo zarra jantā meñ rahegā vo taarā ban jā.egā

    jo sūraj un ko bhūlegā vo āḳhir bujh jā.egā

    tanhā tanhā ro lene se kuchh na banegā kuchh na banā

    mil-jul kar āvāz uThāo parbat bhī hil jā.egā

    maanā aaj kaḌā pahrā hai ham biphre insānoñ par

    lekin socho tinkā kab tak tūfāñ ko Thahrā.egā

    kyuuñ chintā zanjīroñ hathkaḌiyoñ se Darnā kaisā

    tum añgāra ban jaao lohā ḳhud gal jā.egā

    jantā āvāz dabā de ye hai kis ke bas baat

    har vo shīsha TūTegā jo patthar se Takrā.egā

    pūñjī-patiyoñ yaad rakho vo din bhī ab kuchh duur nahīñ

    band tijorī meñ har sikka añgāra ban jā.egā

    dukh meñ ronā-dhonā kaisā mūrakh insāñ hosh meñ aa

    is bhaTTī meñ tap-tap kar kundan bantā jā.egā

    tan ke nāsūroñ ko ujle kapḌoñ se Dhāñpā lekin

    kis parde meñ le kar man koḌh chhupā.egā

    kis ne samjhā hai Dhalte sūraj ye sandesh yahāñ

    jo bhī bol baḌā bolegā ik din muñh khā.egā

    phuT chuki hain subh ki kirnen suraj chaDhta jaega

    raat to KHud marti hai sitaro tum ko kaun bachaega

    jo zarra janta mein rahega wo tara ban jaega

    jo suraj un ko bhulega wo aaKHir bujh jaega

    tanha tanha ro lene se kuchh na banega kuchh na bana

    mil-jul kar aawaz uThao parbat bhi hil jaega

    mana aaj kaDa pahra hai hum biphre insanon par

    lekin socho tinka kab tak tufan ko Thahraega

    kyun chinta zanjiron ki hathkaDiyon se Darna kaisa

    tum angara ban jao loha KHud hi gal jaega

    janta ki aawaz daba de ye hai kis ke bas ki baat

    har wo shisha TuTega jo patthar se Takraega

    punji-patiyon yaad rakho wo din bhi ab kuchh dur nahin

    band tijori mein har sikka angara ban jaega

    dukh mein rona-dhona kaisa murakh insan hosh mein aa

    tu is bhaTTi mein tap-tap kar kundan banta jaega

    tan ke nasuron ko ujle kapDon se Dhanpa lekin

    kis parde mein le ja kar tu man ka koDh chhupaega

    kis ne samjha hai Dhalte suraj ka ye sandesh yahan

    jo bhi bol baDa bolega ek din munh ki khaega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now