Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phuTi bhali wo aankh jo aansu se tar nahin

Qayem Chaandpuri

phuTi bhali wo aankh jo aansu se tar nahin

Qayem Chaandpuri

MORE BYQayem Chaandpuri

    phūTī bhalī vo aañkh jo aañsū se tar nahīñ

    kis kaam hai vo siip ki jis meñ guhar nahīñ

    mun.im hai kyā ki jis se koī bahra-var nahīñ

    kis kaam vo naḳhl ki jis meñ samar nahīñ

    banda huuñ be-ḳhudī maiñ us mast jise

    āshob-e-roz-e-hashr se aslan ḳhabar nahīñ

    yā-rab ḳhalish se aah ho jo na bahra-mand

    jis dil takiya-gāh sar-e-neshtar nahīñ

    ai dil ba-rañg-e-ġhuncha na mil gul-ruḳhoñ se

    apnī girah meñ un ke khilāne ko zar nahīñ

    saaqī hai shab dast-darāzī kyā gila

    pyāre jo be-ḳhudī meñ huā mo'tabar nahīñ

    nālāñ na huuñ galī meñ tirī maiñ to kyā karūñ

    murġh-e-chaman meñ naala sivā kuchh hunar nahīñ

    joñ ashk ek laġhzish-e-pā meñ ga.e haiñ paar

    hastī se tā-ba-nīstī chandāñ safar nahīñ

    'qā.em' jo is tarah phire hai ḳharāb-o-ḳhvār

    ai ḳhānumāñ-ḳharāb magar tere ghar nahīñ

    phuTi bhali wo aankh jo aansu se tar nahin

    kis kaam hai wo sip ki jis mein guhar nahin

    munim hai kya ki jis se koi bahra-war nahin

    kis kaam ka wo naKHl ki jis mein samar nahin

    banda hun be-KHudi ka main us mast ki jise

    aashob-e-roz-e-hashr se aslan KHabar nahin

    ya-rab KHalish se aah ki ho jo na bahra-mand

    jis dil ka takiya-gah sar-e-neshtar nahin

    ai dil ba-rang-e-ghuncha na mil gul-ruKHon se tu

    apni girah mein un ke khilane ko zar nahin

    saqi hai shab ki dast-daraazi ka kya gila

    pyare jo be-KHudi mein hua mo'tabar nahin

    nalan na hun gali mein teri main to kya karun

    murgh-e-chaman mein nala siwa kuchh hunar nahin

    jon ashk ek laghzish-e-pa mein gae hain par

    hasti se ta-ba-nisti chandan safar nahin

    'qaem' jo is tarah tu phire hai KHarab-o-KHwar

    ai KHanuman-KHarab magar tere ghar nahin

    Source:

    Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website) (Pg. 114)

      • Edition: 1963
      • Publisher: Jamal Printing Press, Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now