Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pichhli rafaqaton ka na itna malal kar

Arman Najmi

pichhli rafaqaton ka na itna malal kar

Arman Najmi

MORE BYArman Najmi

    pichhlī rafāqatoñ na itnā malāl kar

    apnī shikastagī bhī thoḌā ḳhayāl kar

    Das le kahīñ tumhīñ ko na mauqa.a nikāl kar

    rakkho na āstīñ meñ koī saañp paal kar

    sharmindagī zaḳhm na gahrā lage kahīñ

    kuchh is qadar darāz na dast-e-savāl kar

    merī tarah na bhī ghuTan shikār ho

    ḳhud apnī ḳhvāhishoñ ko na yuuñ pā.emāl kar

    jo aap nigāh meñ itnā buland hai

    dekhā hai us zarf bhī maiñ ne khañgāl kar

    lamhoñ tund mauj se bachnā muhāl hai

    rakhkhoge kaise yaad ḳhushbū sambhāl kar

    'armāñ' bas ek lazzat-e-iz.hār ke sivā

    miltā hai kyā ḳhayāl ko lafzoñ meñ Dhaal kar

    pichhli rafaqaton ka na itna malal kar

    apni shikastagi ka bhi thoDa KHayal kar

    Das le kahin tumhin ko na mauqa nikal kar

    rakkho na aastin mein koi sanp pal kar

    sharmindagi ka zaKHm na gahra lage kahin

    kuchh is qadar daraaz na dast-e-sawal kar

    meri tarah na tu bhi ghuTan ka shikar ho

    KHud apni KHwahishon ko na yun paemal kar

    jo aap ki nigah mein itna buland hai

    dekha hai us ka zarf bhi main ne khangal kar

    lamhon ki tund mauj se bachna muhaal hai

    rakhkhoge kaise yaad ki KHushbu sambhaal kar

    'arman' bas ek lazzat-e-izhaar ke siwa

    milta hai kya KHayal ko lafzon mein Dhaal kar

    Source:

    shab khuun (46) (rekhta website) (Pg. 30)

      • Edition: 1970
      • Year of Publication: 1970
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now