Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pighalte jismon ki raushni se Dara hua hun

Vipul Kumar

pighalte jismon ki raushni se Dara hua hun

Vipul Kumar

MORE BYVipul Kumar

    pighalte jismoñ raushnī se Darā huā huuñ

    maiñ chhū rahā huuñ jise usī se Darā huā huuñ

    mujhe usī ek dukh lat hai usī ko laao

    maiñ taaza zaḳhmoñ tāzgī se Darā huā huuñ

    maiñ apne andar ke shor se ḳhauf khāne vaalā

    ab apne andar ḳhāmushī se Darā huā huuñ

    maiñ kis tarah ik saadā dil ko fareb dūñgā

    maiñ us āñkhoñ sādgī se Darā huā huuñ

    pighalte jismon ki raushni se Dara hua hun

    main chhu raha hun jise usi se Dara hua hun

    mujhe usi ek dukh ki lat hai usi ko lao

    main taza zaKHmon ki tazgi se Dara hua hun

    main apne andar ke shor se KHauf khane wala

    ab apne andar ki KHamushi se Dara hua hun

    main kis tarah ek sada dil ko fareb dunga

    main us ki aankhon ki sadgi se Dara hua hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now