Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pi kar chain agar aaya bhi kitni der ko aaega

Hafeez Merathi

pi kar chain agar aaya bhi kitni der ko aaega

Hafeez Merathi

MORE BYHafeez Merathi

    kar chain agar aayā bhī kitnī der ko aa.egā

    nashsha ik āvāra panchhī chahkegā uḌ jā.egā

    manzar takmīl na hogī tanhā mujh se fankāro

    dukh ke giit to maiñ dūñgā aañsū kaun bahā.egā

    ek saḳhī ko apnā samajh kar arz-e-hāl Thānī hai

    bairī dil kahtā hai pagle kaasa bhī chhin jā.egā

    merā samundar-pār safar par jaanā ek qayāmat hai

    jaise har chehre pe likhā ho mere liye kyā lā.egā

    jaate jaate pūchh rahā hai amn ke rakhvāloñ se 'hafīz'

    kyuuñ kyā ham logoñ se meraTh ḳhālī ho jā.egā

    pi kar chain agar aaya bhi kitni der ko aaega

    nashsha ek aawara panchhi chahkega uD jaega

    manzar ki takmil na hogi tanha mujh se fankaro

    dukh ke git to main ga dunga aansu kaun bahaega

    ek saKHi ko apna samajh kar arz-e-haal ki Thani hai

    bairi dil kahta hai pagle kasa bhi chhin jaega

    mera samundar-par safar par jaana ek qayamat hai

    jaise har chehre pe likha ho mere liye kya laega

    jate jate puchh raha hai amn ke rakhwalon se 'hafiz'

    kyun ji kya hum logon se meraTh KHali ho jaega

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 201)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now