pi ke girne ka hai KHayal hamein

pi ke girne ka hai KHayal hamein
Nawab Ziauddin Khan Rakhshaan
MORE BYNawab Ziauddin Khan Rakhshaan
pī ke girne kā hai ḳhayāl hameñ
sāqiyā lījiyo sambhāl hameñ
shab na aa.e jo apne va.ade par
guzre kyā kyā na ehtimāl hameñ
tere ġhusse ne ek-dam meñ kiyā
murda-e-sad-hazār saal hameñ
dil meñ muzmar hai ma.anī-e-bāqī
kisī sūrat nahīñ zavāl hameñ
tāl-e-bad se nayyar-e-'raḳhshāñ'
apne hī ghar meñ hai visāl hameñ
pi ke girne ka hai KHayal hamein
saqiya lijiyo sambhaal hamein
shab na aae jo apne wade par
guzre kya kya na ehtimal hamein
tere ghusse ne ek-dam mein kiya
murda-e-sad-hazar sal hamein
dil mein muzmar hai mani-e-baqi
kisi surat nahin zawal hamein
tal-e-bad se nayyar-e-'raKHshan'
apne hi ghar mein hai visal hamein
- Book : Noquush (Pg. B-402 E412)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.