Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pichha hi nahin chhoDti ghar bar ki KHushbu

Jafar Sahni

pichha hi nahin chhoDti ghar bar ki KHushbu

Jafar Sahni

MORE BYJafar Sahni

    Interesting Fact

    Qisse (January 2005)

    pīchhā nahīñ chhoḌtī ghar baar ḳhushbū

    raste se ayaañ hai dar-o-dīvār ḳhushbū

    kab kaise kahāñ se banī pur-pech galī meñ

    bechain kiye rahtī hai asrār ḳhushbū

    maiñ apne tasavvur meñ huuñ ḳhush-hāl barādar

    qadmoñ meñ paḌī hai mire darbār ḳhushbū

    tum ajnabī qadmoñ se nikal jaao musāfir

    paanā hai kisī aur ko gulzār ḳhushbū

    ashkoñ ke jharoke meñ bhī dar aa.ī hai aksar

    hairān tabassum meñ basī yaar ḳhushbū

    ik gul pe qanā.at hai kahāñ bahtī havā ko

    har-vaqt liye phirtī hai do-chār ḳhushbū

    barsoñ jo rahī dafn kisī zaḳhm-e-jigar meñ

    paa.el se ugī aaj vo jhankār ḳhushbū

    āvāz pe takiya na lagānā kabhī 'ja.afar'

    ḳhāmosh sadā detī hai us paar ḳhushbū

    pichha hi nahin chhoDti ghar bar ki KHushbu

    raste se ayan hai dar-o-diwar ki KHushbu

    kab kaise kahan se bani pur-pech gali mein

    bechain kiye rahti hai asrar ki KHushbu

    main apne tasawwur mein hun KHush-haal baradar

    qadmon mein paDi hai mere darbar ki KHushbu

    tum ajnabi qadmon se nikal jao musafir

    pana hai kisi aur ko gulzar ki KHushbu

    ashkon ke jharoke mein bhi dar aai hai aksar

    hairan tabassum mein basi yar ki KHushbu

    ek gul pe qanaat hai kahan bahti hawa ko

    har-waqt liye phirti hai do-chaar ki KHushbu

    barson jo rahi dafn kisi zaKHm-e-jigar mein

    pael se ugi aaj wo jhankar ki KHushbu

    aawaz pe takiya na lagana kabhi 'jafar'

    KHamosh sada deti hai us par ki KHushbu

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now