pinhan zamin ki hai kahani zamin mein
pinhāñ zamīn kī hai kahānī zamīn meñ
jā DhūñDh raftagāñ kī nishānī zamīn meñ
baḌhtā hai karb-e-tishna-labī āgahī se aur
ham jānte haiñ dafn hai paanī zamīn meñ
jin kī mohabbateñ thiiñ bahut āsmāñ-mizāj
vo dafn kar chuke haiñ javānī zamīn meñ
zarḳhez ye zamīn unhī ke sabab se hai
jo kar rahe haiñ ashk-fishānī zamīn meñ
lagtā hai ye ki zalzala aane ko hai kahīñ
mahsūs ho rahī hai girānī zamīn meñ
'āsim' girī 'imārat-e-avval zamīn par
madfūn hai 'imārat-e-sānī zamīn meñ
pinhan zamin ki hai kahani zamin mein
ja DhunDh raftagan ki nishani zamin mein
baDhta hai karb-e-tishna-labi aagahi se aur
hum jaante hain dafn hai pani zamin mein
jin ki mohabbaten thin bahut aasman-mizaj
wo dafn kar chuke hain jawani zamin mein
zarKHez ye zamin unhi ke sabab se hai
jo kar rahe hain ashk-fishani zamin mein
lagta hai ye ki zalzala aane ko hai kahin
mahsus ho rahi hai girani zamin mein
'asim' giri 'imarat-e-awwal zamin par
madfun hai 'imarat-e-sani zamin mein
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 127)
- Author : Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.