Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

poshida dekhti hai kisi ki nazar mujhe

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

poshida dekhti hai kisi ki nazar mujhe

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

MORE BYWahshat Raza Ali Kalkatvi

    poshīda dekhtī hai kisī nazar mujhe

    dekh ai nigāh-e-shauq rusvā na kar mujhe

    maqsad se be-niyāz rahā zauq-e-jushtujū

    maiñ be-ḳhabar huā jo huī kuchh ḳhabar mujhe

    maiñ shab bazm-e-aish mātam-nashīñ huuñ aap

    ro ro ke kyuuñ rulātī hai sham.a-e-sahar mujhe

    hairat ne merī ā.īna un ko banā diyā

    kyā dekhte ki rah ga.e vo dekh kar mujhe

    qurbān jā.ūñ chhoḌ takalluf guftugū

    kah kar pukār 'vahshat'-e-shorīda-sar mujhe

    poshida dekhti hai kisi ki nazar mujhe

    dekh ai nigah-e-shauq tu ruswa na kar mujhe

    maqsad se be-niyaz raha zauq-e-jushtuju

    main be-KHabar hua jo hui kuchh KHabar mujhe

    main shab ki bazm-e-aish ka matam-nashin hun aap

    ro ro ke kyun rulati hai shama-e-sahar mujhe

    hairat ne meri aaina un ko bana diya

    kya dekhte ki rah gae wo dekh kar mujhe

    qurban jaun chhoD takalluf ki guftugu

    kah kar pukar 'wahshat'-e-shorida-sar mujhe

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    poshida dekhti hai kisi ki nazar mujhe Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now