Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

prem ki aag mein aise jal

Tufail Hoshiarpuri

prem ki aag mein aise jal

Tufail Hoshiarpuri

MORE BYTufail Hoshiarpuri

    prem aag meñ aise jal

    māthe par bhī paḌe na bal

    dukh aur sukh baat na chheḌ

    dukh-sukh hai karmoñ phal

    jīvan āḳhir sapnā hai

    kyā kuTiyā kyā shīsh-mahal

    prem agnī meñ ik din

    aañsū bhī jaate haiñ jal

    birhā meñ ban jaatā hai

    saal saal ik ik pal

    jo karnā hai kar le aaj

    aaj na phir aa.egī kal

    honī ho kar rahtī hai

    soch na is koī hal

    prem raah meñ kāñTe haiñ

    phūloñ se bhī komal

    maiñ ban-bāsī dukhiyārā

    ruk mere saath na chal

    ruup rang par naaz na kar

    jā.egā ye sūraj Dhal

    honā chāhe jo amar

    le prem gangā-jal

    prem ki aag mein aise jal

    mathe par bhi paDe na bal

    dukh aur sukh ki baat na chheD

    dukh-sukh hai karmon ka phal

    jiwan aaKHir sapna hai

    kya kuTiya kya shish-mahal

    prem ki agni mein ek din

    aansu bhi jate hain jal

    birha mein ban jata hai

    sal sal ka ek ek pal

    jo karna hai kar le aaj

    aaj na phir aaegi kal

    honi ho kar rahti hai

    soch na is ka koi hal

    prem ki rah mein kanTe hain

    tu phulon se bhi komal

    main ban-basi dukhiyara

    ruk ja mere sath na chal

    rup rang par naz na kar

    jaega ye suraj Dhal

    hona chahe tu jo amar

    pi le prem ka ganga-jal

    Source:

    Soch Mala (Pg. 47)

    • Author: Tufail Hoshiarpuri
      • Publisher: Maqbool Sarmad
      • Year of Publication: 1991
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now