Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

prem pujari dil ko mere tohfa ye anmol diya

Saleem Siddiqi

prem pujari dil ko mere tohfa ye anmol diya

Saleem Siddiqi

MORE BYSaleem Siddiqi

    prem pujārī dil ko mere tohfa ye anmol diyā

    us ne chāhat ke pyāle meñ vish nafrat ghol diyā

    kaisī qasmeñ kaise va.ade aur kaisā paimān-e-vafā

    pyaar ko mere daulat mīzān pe us ne taul diyā

    kab tak tanhā tanhā jiite kab tak dil ko samjhāte

    jism se apne bāñdhā thā jo saañs bandhan khol diyā

    is se achchhā thā bik jaate ham bhī sastī qīmat meñ

    ham ne apnā fan duniyā ko be-bhāv be-mol diyā

    aaheñ aañsū yaas kasak be-tābī-e-dil aur mahrūmī

    mere dilbar ne mujh ko ye mere dil mol diyā

    galiyoñ galiyoñ shahroñ shahroñ kis ne aag lagā.ī hai

    buġhz-o-nafrat duniyā ko kis ne ye māhaul diyā

    dil meñ ik halchal bapā hai nas nas meñ haijān 'salīm'

    jaane kis ne kaan meñ aa ke ḳhushiyoñ ras ghol diyā

    prem pujari dil ko mere tohfa ye anmol diya

    us ne chahat ke pyale mein wish nafrat ka ghol diya

    kaisi qasmen kaise wade aur kaisa paiman-e-wafa

    pyar ko mere daulat ki mizan pe us ne taul diya

    kab tak tanha tanha jite kab tak dil ko samjhate

    jism se apne bandha tha jo sans ka bandhan khol diya

    is se achchha tha bik jate hum bhi sasti qimat mein

    hum ne apna fan duniya ko be-bhaw be-mol diya

    aahen aansu yas kasak be-tabi-e-dil aur mahrumi

    mere dilbar ne mujh ko ye mere dil ka mol diya

    galiyon galiyon shahron shahron kis ne aag lagai hai

    bughz-o-nafrat ka duniya ko kis ne ye mahaul diya

    dil mein ek halchal si bapa hai nas nas mein haijaan 'salim'

    jaane kis ne kan mein aa ke KHushiyon ka ras ghol diya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now