Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pTriyon ki chamakti hui dhaar par fasle apni gardan kaTate rahe

Yusuf Taqi

pTriyon ki chamakti hui dhaar par fasle apni gardan kaTate rahe

Yusuf Taqi

MORE BYYusuf Taqi

    pTriyoñ chamaktī huī dhaar par fāsle apnī gardan kaTāte rahe

    dūriyāñ manziloñ simaTtī rahīñ lamha lamha vo nazdīk aate rahe

    zinda machhlī shāyad taḌap thī unheñ saare bagule samundar jānib uḌe

    ret ke zard kāġhaz pe kuchh soch kar naam likh likh ke terā miTāte rahe

    narm chāhat phailī huī ghaas ko vaqt ke saḳht patthar na rauñdeñ kaheñ

    bas yahī ḳhauf apnī nigāhoñ meñ thā muskurāne ko ham muskurāte rahe

    chilchilātī huī dhuup aañch meñ yuuñ jhulasnā to apnā muqaddar rahā

    zehn meñ narm-o-nāzuk ghanī chhāñv se tere āñchal magar sarsarāte rahe

    yaas ḳhushk Tahnī pe kaise lagā baur ḳhvāboñ mujh se na kuchh pūchhnā

    zindagī lamha lamha mujhe mil ga.ī qatra qatra vo chāhat luTāte rahe

    pTriyon ki chamakti hui dhaar par fasle apni gardan kaTate rahe

    duriyan manzilon ki simaTti rahin lamha lamha wo nazdik aate rahe

    zinda machhli ki shayad taDap thi unhen sare bagule samundar ki jaanib uDe

    ret ke zard kaghaz pe kuchh soch kar nam likh likh ke tera miTate rahe

    narm chahat ki phaili hui ghas ko waqt ke saKHt patthar na raunden kahen

    bas yahi KHauf apni nigahon mein tha muskurane ko hum muskuraate rahe

    chilchilati hui dhup ki aanch mein yun jhulasna to apna muqaddar raha

    zehn mein narm-o-nazuk ghani chhanw se tere aanchal magar sarsaraate rahe

    yas ki KHushk Tahni pe kaise laga baur KHwabon ka mujh se na kuchh puchhna

    zindagi lamha lamha mujhe mil gai qatra qatra wo chahat luTate rahe

    Source:

    Khushk Tahni Zard Pattay (Pg. 65)

    • Author: Yousuf Taqi
      • Edition: 2003
      • Publisher: Yousuf Taqi
      • Year of Publication: 2003
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now