Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pur-KHun hai jigar lala-e-sairab ki saugand

Siraj Aurangabadi

pur-KHun hai jigar lala-e-sairab ki saugand

Siraj Aurangabadi

MORE BYSiraj Aurangabadi

    pur-ḳhūñ hai jigar lāla-e-sairāb saugand

    rañgīnī-e-dāġh-e-dil-e-betāb saugand

    tasvīr hai tujh yaad siiñ ā.īna-e-dil aaj

    hairat-vashī-e-dīda-e-be-ḳhvāb saugand

    hai kāba-e-maqsūd mujhe vo ḳham-e-abru

    ai shoḳh mujhe masjid o mehrāb saugand

    sarsabz hai aañsū siiñ mirā gulshan-e-ummīd

    hai mujh kuuñ mire dīda-e-pur-āb saugand

    ahvāl-e-'sirāj' aa ki birah aag meñ tuuñ dekh

    be-tāqat o be-tāb hai sīmāb saugand

    pur-KHun hai jigar lala-e-sairab ki saugand

    rangini-e-dagh-e-dil-e-betab ki saugand

    taswir hai tujh yaad sin aaina-e-dil aaj

    hairat-washi-e-dida-e-be-KHwab ki saugand

    hai kaba-e-maqsud mujhe wo KHam-e-abru

    ai shoKH mujhe masjid o mehrab ki saugand

    sarsabz hai aansu sin mera gulshan-e-ummid

    hai mujh kun mere dida-e-pur-ab ki saugand

    ahwal-e-'siraj' aa ki birah aag mein tun dekh

    be-taqat o be-tab hai simab ki saugand

    Source:

    Kulliyat-e-Siraj (Pg. 389)

    • Author: Siraj Aurangabadi
      • Edition: 1982,1998
      • Publisher: Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu
      • Year of Publication: 1982,1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now