Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

purana qissa tamam karna paDega usko

Rahat Hasan

purana qissa tamam karna paDega usko

Rahat Hasan

MORE BYRahat Hasan

    purānā qissa tamām karnā paḌegā us ko

    na.e taqāzoñ pe kaam karnā paḌegā us ko

    vo ḳhalvatoñ meñ agar kisī ko pukārtā hai

    to apnā ūñchā maqām karnā paḌegā us ko

    agar vo aivān-e-āshiqī se juḌā hai to phir

    ḳhud apnā bhī ehtirām karnā paḌegā us ko

    sab apnī apnī rivāyatoñ ko bhulā rahe haiñ

    kuchh aur rasmoñ ko aam karnā paḌegā us ko

    usī nigrāniyoñ meñ haiñ ab ye bastiyāñ bhī

    yahāñ bhī kuchh din qayām karnā paḌegā us ko

    vo chāhtā hai agar bulandī banī rahe to

    havā ko apnā ġhulām karnā paḌegā us ko

    agar nigāhoñ meñ āfiyat hai to sehn-e-dil meñ

    jo kuchh hai ḳhvāboñ ke naam karnā paḌegā us ko

    sunā hai 'rāhat' koī qayāmat hai aane vaalī

    abhī se kuchh intizām karnā paḌegā us ko

    purana qissa tamam karna paDega us ko

    nae taqazon pe kaam karna paDega us ko

    wo KHalwaton mein agar kisi ko pukarta hai

    to apna uncha maqam karna paDega us ko

    agar wo aiwan-e-ashiqi se juDa hai to phir

    KHud apna bhi ehtiram karna paDega us ko

    sab apni apni riwayaton ko bhula rahe hain

    kuchh aur rasmon ko aam karna paDega us ko

    usi ki nigraniyon mein hain ab ye bastiyan bhi

    yahan bhi kuchh din qayam karna paDega us ko

    wo chahta hai agar bulandi bani rahe to

    hawa ko apna ghulam karna paDega us ko

    agar nigahon mein aafiyat hai to sehn-e-dil mein

    jo kuchh hai KHwabon ke nam karna paDega us ko

    suna hai 'rahat' koi qayamat hai aane wali

    abhi se kuchh intizam karna paDega us ko

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now