Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pursish-e-gham ko na aa gham ka mudawa ho ja

Dr. Naresh

pursish-e-gham ko na aa gham ka mudawa ho ja

Dr. Naresh

MORE BYDr. Naresh

    pursish-e-ġham ko na aa ġham mudāvā ho

    mujh meñ dil ban ke dhaḌak merā sarāpā ho

    paaoñ rakhne ko zamīñ tag na mayassar hogī

    bhiiḌ se ūñchā na uTh bhiiḌ hissa ho

    aql kahtī hai ki maañg un se vafāoñ sila

    dil ye kahtā hai ki mahrūm-e-tamannā ho

    TuuT jaa.eñ na dhartī se kahīñ sab rishte

    itnā ūñchā bhī na uḌ thoḌā nīchā ho

    rif.ateñ chhū ke dikhā ishq-o-mohabbat 'naresh'

    us ne ik qatra jo māñgā hai to dariyā ho

    pursish-e-gham ko na aa gham ka mudawa ho ja

    mujh mein dil ban ke dhaDak mera sarapa ho ja

    paon rakhne ko zamin tag na mayassar hogi

    bhiD se uncha na uTh bhiD ka hissa ho ja

    aql kahti hai ki mang un se wafaon ka sila

    dil ye kahta hai ki mahrum-e-tamanna ho ja

    TuT hi jaen na dharti se kahin sab rishte

    itna uncha bhi na uD thoDa sa nicha ho ja

    rifaten chhu ke dikha ishq-o-mohabbat ki 'naresh'

    us ne ek qatra jo manga hai to dariya ho ja

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now