Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

puchho mujhe ai ham-nafasan kaun hun kya hun

Sajjad Baqar Rizvi

puchho mujhe ai ham-nafasan kaun hun kya hun

Sajjad Baqar Rizvi

MORE BYSajjad Baqar Rizvi

    pūchho mujhe ai ham-nafasāñ kaun huuñ kyā huuñ

    yaaro maiñ koī hashr ke maidāñ meñ khaḌā huuñ

    tum rañg meñ dekho to huuñ murjhāyā huā phuul

    āvāz meñ maiñ TūTte shīshe sadā huuñ

    merī bhī hikāyat hai vahī dil-zadagī

    par dard ke unvān meñ mazmūn-e-judā huuñ

    kuchh mere dam se haiñ bahāroñ ke ma.ānī

    maiñ pairav-e-gul gul tarah chāk-qabā huuñ

    huuñ band ḳhayāloñ meñ ki juuñ phuul meñ ḳhushbū

    āzāda-ravī meñ sifat-e-mauj-e-sabā huuñ

    ḳhvāhish pe mujhe TuuT ke girnā nahīñ aatā

    pyāsā huuñ magar sāhil-e-dariyā pe khaḌā huuñ

    shāyad yahī tiryāq bane zahr fanā

    maiñ talḳhī-e-ayyām sat khīñch rahā huuñ

    phūloñ rifāqat meñ to paa.e haiñ phaphole

    kāñToñ se hai ummīd ki maiñ ābla-pā huuñ

    din roz-e-qayāmat hai ki kaaTe nahīñ kaTtā

    tanhā huuñ ki ḳhud saa.e se bhī apne judā huuñ

    raat aa.e to so jā.ūñ añdheroñ se lipaT kar

    maiñ sub.h se Dartā huuñ ki sūraj Dasā huuñ

    katrā ke na chal raah bhaTak jā.egā raahī

    maiñ rahrav-e-ummīd naqsh-e-kaf-e-pā huuñ

    is daur-e-ḳhurāfāt meñ be-qadr huuñ phir bhī

    jitnā samajhtā hai maiñ kuchh us se sivā huuñ

    har rañg har āhañg mire sāmne aajiz

    maiñ koh-e-ma.ānī bulandī pe khaḌā huuñ

    nikleñgī chaTānoñ se mirī fikr nahreñ

    maiñ lafz ke teshe se unheñ kaaT rahā huuñ

    maiñ kīmiyā-gar ḳhud ko jalātā rahūñgā

    aur ye samajhtā hai ki jiine se ḳhafā huuñ

    paidā mire naġhmoñ se huiiñ nuur lahreñ

    maiñ ḳhāliq-e-tahzīb añdheroñ ziyā huuñ

    'bāqar' mujhe kuchh dād-e-suḳhan nahīñ parvā

    maiñ shahr-e-ḳhamoshāñ meñ huuñ aur naġhma-sarā huuñ

    puchho mujhe ai ham-nafasan kaun hun kya hun

    yaro main koi hashr ke maidan mein khaDa hun

    tum rang mein dekho to hun murjhaya hua phul

    aawaz mein main TuTte shishe ki sada hun

    meri bhi hikayat hai wahi dil-zadagi ki

    par dard ke unwan mein mazmun-e-juda hun

    kuchh mere hi dam se hain bahaaron ke maani

    main pairaw-e-gul gul ki tarah chaak-qaba hun

    hun band KHayalon mein ki jun phul mein KHushbu

    aazada-rawi mein sifat-e-mauj-e-saba hun

    KHwahish pe mujhe TuT ke girna nahin aata

    pyasa hun magar sahil-e-dariya pe khaDa hun

    shayad yahi tiryaq bane zahr fana ka

    main talKHi-e-ayyam ka sat khinch raha hun

    phulon ki rifaqat mein to pae hain phaphole

    kanTon se hai ummid ki main aabla-pa hun

    din roz-e-qayamat hai ki kaTe nahin kaTta

    tanha hun ki KHud sae se bhi apne juda hun

    raat aae to so jaun andheron se lipaT kar

    main subh se Darta hun ki suraj ka Dasa hun

    katra ke na chal rah bhaTak jaega rahi

    main rahraw-e-ummid ka naqsh-e-kaf-e-pa hun

    is daur-e-KHurafat mein be-qadr hun phir bhi

    tu jitna samajhta hai main kuchh us se siwa hun

    har rang har aahang mere samne aajiz

    main koh-e-maani ki bulandi pe khaDa hun

    niklengi chaTanon se meri fikr ki nahren

    main lafz ke teshe se unhen kaT raha hun

    main kimiya-gar KHud ko jalata hi rahunga

    aur tu ye samajhta hai ki jine se KHafa hun

    paida mere naghmon se huin nur ki lahren

    main KHaliq-e-tahzib andheron ki ziya hun

    'baqar' mujhe kuchh dad-e-suKHan ki nahin parwa

    main shahr-e-KHamoshan mein hun aur naghma-sara hun

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 653)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now