puchho na kaise rang badalne lagi hai sham
pūchho na kaise rang badalne lagī hai shaam
ab buuñd buuñd zahr ugalne lagī hai shaam
maiñ chāhtā huuñ vaqt kī tasvīr khīñch luuñ
sūraj kī raushnī se pighalne lagī hai shaam
jaise ab is ke sabr kā paimāna bhar gayā
yuuñ be-qarār ho ke ubalne lagī hai shaam
aisā na ho bahakne lage vaqt kā qadam
rāh-e-vafā pe shauq se chalne lagī hai shaam
yuuñ jal rahī hai aisī ki kuchh bhī dhuāñ nahīñ
jab se parā.ī aag meñ jalne lagī hai shaam
ham intizār-e-yār meñ baiThe haiñ tāza-dam
duniyā samajh rahī hai ki Dhalne lagī hai shaam
'nāshād' dil ke zaḳhm pe marham lagā.iye
āñgan meñ apne ghar ke Tahalne lagī hai shaam
puchho na kaise rang badalne lagi hai sham
ab bund bund zahr ugalne lagi hai sham
main chahta hun waqt ki taswir khinch lun
suraj ki raushni se pighalne lagi hai sham
jaise ab is ke sabr ka paimana bhar gaya
yun be-qarar ho ke ubalne lagi hai sham
aisa na ho bahakne lage waqt ka qadam
rah-e-wafa pe shauq se chalne lagi hai sham
yun jal rahi hai aisi ki kuchh bhi dhuan nahin
jab se parai aag mein jalne lagi hai sham
hum intizar-e-yar mein baiThe hain taza-dam
duniya samajh rahi hai ki Dhalne lagi hai sham
'nashad' dil ke zaKHm pe marham lagaiye
aangan mein apne ghar ke Tahalne lagi hai sham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.