Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

puchhte kya ho jo haal-e-shab-e-tanhai tha

Shibli Nomani

puchhte kya ho jo haal-e-shab-e-tanhai tha

Shibli Nomani

MORE BYShibli Nomani

    pūchhte kyā ho jo hāl-e-shab-e-tanhā.ī thā

    ruḳhsat-e-sabr thī tark-e-shakebā.ī thā

    shab-e-furqat meñ dil-e-ġham-zada bhī paas na thā

    vo bhī kyā raat thī kyā ālam-e-tanhā.ī thā

    maiñ thā dīda-e-ḳhūñ-nāba-fishānī shab-e-hijr

    un ko vaañ mashġhala-e-anjuman-ārā.ī thā

    pāra-hā-e-dil-e-ḳhūnīñ talab thī paiham

    shab jo āñkhoñ meñ mirī zauq-e-ḳhud-ārā.ī thā

    rahm to ek taraf pāya-shanāsī dekho

    qais ko kahte haiñ majnūn thā sahrā.ī thā

    āñkheñ qātil sahī par zinda jo karnā hotā

    lab pe ai jaan e'jāz masīhā.ī thā

    ḳhuun ro ro diye bas do qadam meñ chhāle

    yaañ vahī hausla-e-bādiya-paimā.ī thā

    dushman-e-jāñ the udhar hijr meñ dard-o-ġham-o-rañj

    aur idhar ek akelā tirā shaidā.ī thā

    uñgliyāñ uThtī thiiñ mizhgāñ usī ruḳh paiham

    jis taraf bazm meñ vo kāfir-e-tarsā.ī thā

    kaun is raah se guzrā hai ki har naqsh-e-qadam

    chashm-e-āshiq tarah us tamāshā.ī thā

    ḳhuub vaqt aa.e nakīrain jazā degā ḳhudā

    lahd-e-tīra meñ bhī kyā ālam-e-tanhā.ī thā

    ham ne bhī hazrat-shiblī ziyārat thī

    yuuñ to zāhir meñ muqaddas thā pa shaidā.ī thā

    puchhte kya ho jo haal-e-shab-e-tanhai tha

    ruKHsat-e-sabr thi ya tark-e-shakebai tha

    shab-e-furqat mein dil-e-gham-zada bhi pas na tha

    wo bhi kya raat thi kya aalam-e-tanhai tha

    main tha ya dida-e-KHun-naba-fishani shab-e-hijr

    un ko wan mashghala-e-anjuman-arai tha

    para-ha-e-dil-e-KHunin ki talab thi paiham

    shab jo aankhon mein meri zauq-e-KHud-arai tha

    rahm to ek taraf paya-shanasi dekho

    qais ko kahte hain majnun tha sahrai tha

    aankhen qatil sahi par zinda jo karna hota

    lab pe ai jaan tu e'jaz masihai tha

    KHun ro ro diye bas do hi qadam mein chhaale

    yan wahi hausla-e-baadiya-paimai tha

    dushman-e-jaan the udhar hijr mein dard-o-gham-o-ranj

    aur idhar ek akela tera shaidai tha

    ungliyan uThti thin mizhgan ki usi ruKH paiham

    jis taraf bazm mein wo kafir-e-tarsai tha

    kaun is rah se guzra hai ki har naqsh-e-qadam

    chashm-e-ashiq ki tarah us ka tamashai tha

    KHub waqt aae nakirain jaza dega KHuda

    lahd-e-tira mein bhi kya aalam-e-tanhai tha

    hum ne bhi hazrat-shibli ki ziyarat ki thi

    yun to zahir mein muqaddas tha pa shaidai tha

    Source:

    mahnaamaa kitaab numaa (Pg. 31)

    • Author: khaalid mahmood
      • Edition: may-2014
      • Publisher: maktaba jamia limited
      • Year of Publication: may-2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now